الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الصوم
Kitab: Rozay ke masail ka bayan
باب قول الله جل ذكره: {أحل لكم ليلة الصيام الرفث إلى نسائكم هن لباس لكم وأنتم لباس لهن علم الله أنكم كنتم تختانون أنفسكم فتاب عليكم وعفا عنكم فالآن باشروهن وابتغوا ما كتب الله لكم} :
Bab: Allah Azzawajal ka farmana ke halal kar diya gaya hai tumhare liye Ramzan ki raaton mein apni biwiyon se sohbat karna, woh tumhara libas hain aur tum un ka libas ho, Allah ne maloom kiya ke tum chori se aisa karte the, so maaf kar diya tum ko aur darguzar ki tum se pas ab sohbat karo un se aur dhoondo jo likh diya Allah Taala ne tumhari qismat mein (aulad se).
Hadith Number: 1915
حدثنا عبيد الله بن موسى، عن إسرائيل، عن ابي إسحاق، عن البراء رضي الله عنه، قال:" كان اصحاب محمد صلى الله عليه وسلم، إذا كان الرجل صائما فحضر الإفطار فنام قبل ان يفطر، لم ياكل ليلته ولا يومه حتى يمسي"، وإن قيس بن صرمة الانصاري كان صائما، فلما حضر الإفطار اتى امراته، فقال لها: اعندك طعام؟ قالت: لا، ولكن انطلق فاطلب لك، وكان يومه يعمل فغلبته عيناه، فجاءته امراته، فلما راته، قالت: خيبة لك، فلما انتصف النهار غشي عليه، فذكر ذلك للنبي صلى الله عليه وسلم، فنزلت هذه الآية: احل لكم ليلة الصيام الرفث إلى نسائكم سورة البقرة آية 187، ففرحوا بها فرحا شديدا، ونزلت: وكلوا واشربوا حتى يتبين لكم الخيط الابيض من الخيط الاسود سورة البقرة آية 187.
Hum se Ubaidullah Bin Musa ne bayan kiya, un se Israel ne, un se Abu Ishaq ne aur un se Bara (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke (shuru Islam mein) Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke Sahaba (Radi Allahu Anhum) jab roza se hote aur iftar ka waqt aata to koi roza dar agar iftar se pehle bhi so jata to phir is raat mein bhi aur aane wale din mein bhi unhein khane peene ki ijazat nahi thi ta-aan-kay phir sham ho jati, phir aisa hua ke Qais Bin Sarma Ansari (Radi Allahu Anhu) bhi roze se thay jab iftar ka waqt hua to wo apni biwi ke paas aaye aur un se poocha kya tumhare paas kuch khana hai ? Unhon ne kaha (is waqt kuch) nahi hai lekin mein jati hoon kahin se laoongi, din bhar unhon ne kaam kiya tha is liye aankh lag gayi jab biwi wapas hueein aur unhein (sote hue) dekha to farmaya afsos tum mahroom hi rahe, lekin doosre din wo dopahar ko behosh ho gaye jab is ka zikr Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se kiya gaya to ye ayat nazil hui ”halal kar diya gaya tumhare liye Ramzan ki raaton mein apni biwiyon se suhbat karna“ is par Sahaba (Radi Allahu Anhum) bahut khush hue aur ye ayat nazil hui ”khao piyo yahan tak ke mumtaz ho jaye tumhare liye subah ki safaid dhari (subah sadiq) siyah dhari (subah kazib) se.“
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4508
حدثنا عبيد الله , عن إسرائيل , عن ابي إسحاق، عن البراء. ح وحدثنا احمد بن عثمان , حدثنا شريح بن مسلمة , قال: حدثني إبراهيم بن يوسف , عن ابيه , عن ابي إسحاق، قال: سمعت البراء رضي الله عنه:" لما نزل صوم رمضان كانوا لا يقربون النساء رمضان كله، وكان رجال يخونون انفسهم، فانزل الله علم الله انكم كنتم تختانون انفسكم فتاب عليكم وعفا عنكم سورة البقرة آية 187".
Hum se Ubaydullah ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Israeel ne byaan kiya , un se Abu Ishaq ne aur un se Bara razi Allahu anhu ne (doosri sanad) aur hum se Ahmad bin Usman ne byaan kiya , un se Shurayh bin Maslamah ne byaan kiya , kaha ke mujh se Ibrahim bin Yusuf ne byaan ka , un se un ke walid ne , un se Abu Ishaq ne byaan kiya , unhon ne Bara bin Azib razi Allahu anhu se suna ke jab Ramzan ke roze ka hukm nazil hua to Musalman poore Ramzan mein apni biwiyon ke qareeb nahi jate thay aur kuch logon ne apne ko khiyanat mein mubtala kar liya tha . Is par Allah Ta'ala ne yeh aayat nazil farmayi «alimallahu annakum kuntum takhtanoona anfusakum fataba alaykum wa afa ankum» ”Allah ne jaan liya ke tum apne ko khiyanat mein mubtala karte rehte thay . Pas is ne tum par rahmat se tawajjo farmayi aur tum ko maaf kar diya .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة