الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب فضائل المدينة
Kitab: Madinah ke fazail ka bayan
باب كراهية النبى صلى الله عليه وسلم أن تعرى المدينة:
Bab: Madinah ka veeran karna Nabi Karim Sallallahu Alaihi Wasallam ko nagawar tha.
Show diacritics
Hadith Number: 1887
حدثنا ابن سلام، اخبرنا الفزاري، عن حميد الطويل، عن انس رضي الله عنه، قال:" اراد بنو سلمة ان يتحولوا إلى قرب المسجد، فكره رسول الله صلى الله عليه وسلم ان تعرى المدينة، وقال: يا بني سلمة، الا تحتسبون آثاركم، فاقاموا".
Hum se Muhammad Bin Salam Baikandi ne bayan kiya, kaha ke humein Marwan Bin Muawiyah Fazari ne khabar di, unhein Humaid Taweel ne khabar di aur un se Anas (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Bano Salama ne chaha ke apne door wale makanat chor kar Masjid-e-Nabwi se kareeb iqamat ikhtiyar kar lein lekin Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ye pasand na kiya ke Madinah ke kisi hissa se bhi rehaish tark ki jaye, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke ae Bano Salama! tum apne qadmon ka sawab nahi chahte, chunanche Bano Salama ne (apni asli iqamat gah mein) rehaish baqi rakkhi
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 655
حدثنا محمد بن عبد الله بن حوشب، قال: حدثنا عبد الوهاب، قال: حدثنا حميد، عن انس بن مالك، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" يا بني سلمة، الا تحتسبون آثاركم؟".
Hum se Muhammad bin Abdullah bin Hawshab ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Abdul Wahhab Thaqafi ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Humayd Taweel ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se byaan kiya , unhon ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya , aye Bano Salama walo! kya tum apne qadmon ka sawab nahi chahte ?


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 656
وقال مجاهد في قوله: ونكتب ما قدموا وآثارهم، قال خطاهم، وقال ابن ابي مريم: اخبرنا يحيى بن ايوب، حدثني حميد، حدثني انس، ان بني سلمة ارادوا ان يتحولوا عن منازلهم فينزلوا قريبا من النبي صلى الله عليه وسلم، قال: فكره رسول الله صلى الله عليه وسلم ان يعروا المدينة، فقال: الا تحتسبون آثاركم؟ قال مجاهد: خطاهم آثارهم ان يمشى في الارض بارجلهم.
Aur Ibn Abi Maryam ne byaan mein yeh zyada kaha hai ke mujhe Yahya bin Ayyub ne khabar di , kaha ke mujh se Humayd Taweel ne byaan kiya , kaha ke mujh se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Bano Salama walon ne yeh irada kiya ke apne makaan (jo masjid se door thay) chhor den aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke qareeb aa rahen . (taake bajamaat ke liye masjid Nabwi ka sawab haasil ho) lekin Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko Madinah ka ujaar dena bura maloom hua . Aap ne farmaya ke tum log apne qadmon ka sawab nahi chahte ? Mujahid ne kaha (Surah Yaseen mein) «wa aathaarahum» se qadam muraad hain . Yani zameen par chalne se paon ke nishanaat .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة