الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب جزاء الصيد
Kitab: Shikar ke badle ka bayan
باب دخول الحرم ومكة بغير إحرام:
Bab: Haram aur Makkah Sharif mein baghair ihram ke dakhil hona.
Show diacritics
Hadith Number: 1846
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابن شهاب، عن انس بن مالك رضي الله عنه،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم دخل عام الفتح وعلى راسه المغفر، فلما نزعه، جاء رجل، فقال: إن ابن خطل متعلق باستار الكعبة، فقال: اقتلوه".
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hum ko Imam Malik ne khabar di, unhein Ibn Shihab Zuhri ne aur unhein Anas Bin Malik (Radi Allahu Anhu) ne aa kar khabar di ke Fatah-e-Makkah ke din Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) jab Makkah mein dakhil hue to aap ke sar par khud tha. Jis waqt aap ne utara to ek shakhs ne khabar di ke Ibn Khatal Kaabah ke pardon se latak raha hai Aap ne farmaya ke usay qatl kar do
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3044
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن ابن شهاب، عن انس بن مالك رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم: دخل عام الفتح وعلى راسه المغفر فلما نزعه جاء رجل، فقال: إن ابن خطل متعلق باستار الكعبة، فقال:" اقتلوه".
Hum se Ismail Bin Abi Uwais ne bayan kiya, kaha ke mujh se Imam Malik ne bayan kiya, in se Ibn Shihab ne aur in se Anas Bin Malik (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Fatah Makkah ke din jab shehr mein dakhil hue to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sar mubarak par khud tha. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) jab ise utaar rahe thay to ek shakhs (Abu Barzah Aslami) ne aa kar aap ko khabar di ke Ibn Khatal (Islam ka bad-tareen dushman) Kaabah ke parde se latka hua hai. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ise wahin qatl kar do
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4286
حدثنا يحيى بن قزعة، حدثنا مالك، عن ابن شهاب، عن انس بن مالك رضي الله عنه:" ان النبي صلى الله عليه وسلم دخل مكة يوم الفتح وعلى راسه المغفر، فلما نزعه جاء رجل، فقال ابن خطل: متعلق باستار الكعبة، فقال: اقتله، قال مالك: ولم يكن النبي صلى الله عليه وسلم فيما نرى، والله اعلم يومئذ محرما".
Hum se Yahya bin Qazah ne byaan kiya ‘ kaha hum se Malik ne byaan kiya ‘ un se Ibn Shihab ne aur un se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Fatah Makkah ke mauqa par jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam Makkah mein dakhil huay to sar mubarak par khud thi . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne usay utara hi tha ke ek sahabi ne aa kar arz kiya ke Ibn Khatal Kaaba ke parda se chimta hua hai . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke usay (wahin) qatl kar do . Imam Malik rahmahullah ne kaha jaisa ke hum samajhte hain aage Allah jaane ‘ Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam is din ihram bandhe huay nahi thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5808
حدثنا ابو الوليد، حدثنا مالك، عن الزهري، عن انس رضي الله عنه" ان النبي صلى الله عليه وسلم دخل مكة عام الفتح وعلى راسه المغفر".
Hum se Abu al-Waleed ne bayan kiya, kaha hum se Imam Malik ne bayan kiya, in se Zuhri ne aur in se Anas razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam Fatah Makkah ke saal (Makkah Mukarramah mein) dakhil huay to Aap ke sar par khud thi.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة