الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الحج
Kitab: Hajj ke masail ka bayan
باب المحصب:
Bab: Wadi Muhassab ka bayan.
Hadith Number: 1765
حدثنا ابو نعيم، حدثنا سفيان، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" إنما كان منزل ينزله النبي صلى الله عليه وسلم ليكون اسمح لخروجه يعني بالابطح".
Hum se Abu Naeem ne bayan kiya, kaha ke hum se Sufyan ne bayan kiya, un se Hisham Bin Urwah ne, un se un ke walid ne aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Mina se kooch kar ke yahan Muhassab mein is liye utre thay taake aasani ke sath Madinah ko nikal sakein. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki murad Abtah mein utrne se thi
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1766
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، قال: عمرو عن عطاء، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" ليس التحصيب بشيء، إنما هو منزل نزله رسول الله صلى الله عليه وسلم".
Hum se Ali Bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Bin Uyainah ne bayan kiya, un se Amr Bin Ata Bin Abi Rabah ne bayan kiya aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Muhassab mein utrna Haj ki koi ibadat nahi hai, ye to sirf Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke qiyam ki jagah thi
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة