الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الحج
Kitab: Hajj ke masail ka bayan
باب رفع اليدين عند جمرة الدنيا والوسطى:
Bab: Pehle aur dusre jamrah ke paas ja kar dua ke liye haath uthana.
Show diacritics
Hadith Number: 1752
حدثنا إسماعيل بن عبد الله، قال: حدثني اخي، عن سليمان، عن يونس بن يزيد، عن ابن شهاب، عن سالم بن عبد الله، ان عبد الله بن عمر رضي الله عنهما" كان يرمي الجمرة الدنيا بسبع حصيات، ثم يكبر على إثر كل حصاة، ثم يتقدم فيسهل، فيقوم مستقبل القبلة قياما طويلا فيدعو ويرفع يديه، ثم يرمي الجمرة الوسطى، كذلك فياخذ ذات الشمال فيسهل، ويقوم مستقبل القبلة قياما طويلا فيدعو ويرفع يديه، ثم يرمي الجمرة ذات العقبة من بطن الوادي ولا يقف عندها، ويقول: هكذا رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم يفعل".
Hum se Ismail Bin Abdullah ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se mere bhai (Abdul Hameed) ne bayan kiya, un se Sulaiman ne bayan kiya, un se Yunus Bin Yazid ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne bayan kiya, un se Salim Bin Abdullah ne bayan kiya ke Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) pehle jamrah ki rami saat kankariyon ke sath karte aur har kankari par «Allahu Akbar» kehte thay, is ke baad aage barhte aur ek narm hamwar zameen par qibla rukh kharay ho jate, duayein karte rehte aur dono hathon ko uthate phir jamrah wusta ki rami mein bhi isi tarah karte aur bayein taraf aage barh kar ek narm zameen par qibla rukh kharay ho jate, bohat der tak isi tarah kharay ho kar duayein karte rehte, phir jamrah aqabah ki rami batn-e-wadi se karte lekin wahan theherte nahi thay, Aap farmate thay ke mein ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki isi tarah karte dekha hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1751
حدثنا عثمان بن ابي شيبة، حدثنا طلحة بن يحيى، حدثنا يونس، عن الزهري، عن سالم، عن ابن عمر رضي الله عنهما،" انه كان يرمي الجمرة الدنيا بسبع حصيات يكبر على إثر كل حصاة، ثم يتقدم حتى يسهل، فيقوم مستقبل القبلة، فيقوم طويلا ويدعو ويرفع يديه، ثم يرمي الوسطى، ثم ياخذ ذات الشمال فيستهل، ويقوم مستقبل القبلة، فيقوم طويلا ويدعو ويرفع يديه، ويقوم طويلا ثم يرمي جمرة ذات العقبة من بطن الوادي ولا يقف عندها، ثم ينصرف، فيقول: هكذا رايت النبي صلى الله عليه وسلم يفعله".
Hum se Usman Bin Abi Shaiba ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Talha Bin Yahya ne bayan kiya, un se Yunus ne Zuhri se bayan kiya, un se Salim ne ke Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) pehle jamrah ki rami saat kankariyon ke sath karte aur har kankari par «Allahu Akbar» kehte thay, phir aage barhte aur ek narm hamwar zameen par pohanch kar qibla rukh kharay ho jate isi tarah der tak kharay dono hath utha kar dua karte, phir jamrah wusta ki rami karte, phir bayein taraf barhte aur ek hamwar zameen par qibla rukh ho kar kharay ho jate, yahan bhi der tak kharay kharay dono hath utha kar duayein karte rehte, is ke baad wale nasheeb se jamrah aqabah ki rami karte is ke baad Aap kharay na hote balkey wapas chale aate aur farmate ke mein ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko isi tarah karte dekha tha
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة