الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الحج
Kitab: Hajj ke masail ka bayan
باب إذا رمى الجمرتين يقوم ويسهل مستقبل القبلة:
Bab: Jab haji dono jamron ki rami kar chuke to hamwar zameen par qibla rukh khara ho jaye.
Hadith Number: 1751
حدثنا عثمان بن ابي شيبة، حدثنا طلحة بن يحيى، حدثنا يونس، عن الزهري، عن سالم، عن ابن عمر رضي الله عنهما،" انه كان يرمي الجمرة الدنيا بسبع حصيات يكبر على إثر كل حصاة، ثم يتقدم حتى يسهل، فيقوم مستقبل القبلة، فيقوم طويلا ويدعو ويرفع يديه، ثم يرمي الوسطى، ثم ياخذ ذات الشمال فيستهل، ويقوم مستقبل القبلة، فيقوم طويلا ويدعو ويرفع يديه، ويقوم طويلا ثم يرمي جمرة ذات العقبة من بطن الوادي ولا يقف عندها، ثم ينصرف، فيقول: هكذا رايت النبي صلى الله عليه وسلم يفعله".
Hum se Usman Bin Abi Shaiba ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Talha Bin Yahya ne bayan kiya, un se Yunus ne Zuhri se bayan kiya, un se Salim ne ke Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) pehle jamrah ki rami saat kankariyon ke sath karte aur har kankari par «Allahu Akbar» kehte thay, phir aage barhte aur ek narm hamwar zameen par pohanch kar qibla rukh kharay ho jate isi tarah der tak kharay dono hath utha kar dua karte, phir jamrah wusta ki rami karte, phir bayein taraf barhte aur ek hamwar zameen par qibla rukh ho kar kharay ho jate, yahan bhi der tak kharay kharay dono hath utha kar duayein karte rehte, is ke baad wale nasheeb se jamrah aqabah ki rami karte is ke baad Aap kharay na hote balkey wapas chale aate aur farmate ke mein ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko isi tarah karte dekha tha
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1749
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا الحكم، عن إبراهيم، عن عبد الرحمن بن يزيد،" انه حج مع ابن مسعود رضي الله عنه، فرآه يرمي الجمرة الكبرى بسبع حصيات، فجعل البيت عن يساره ومنى عن يمينه، ثم قال: هذا مقام الذي انزلت عليه سورة البقرة".
Hum se Adam Bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha ke hum se Shuba ne bayan kiya, un se Hakam Bin Utbah ne bayan kiya, un se Ibrahim Nakhai ne, un se Abdul Rahman Bin Yazid ne ke unhon ne Abdullah Bin Masood (Radi Allahu Anhu) ke sath Haj kiya unhon ne dekha jamrah aqabah ki saat kankariyon ke sath rami ke waqt Aap ne Bait Allah ko to apni bayein taraf aur Mina ko dayein taraf kar liya phir farmaya ke yahi un ka bhi maqam tha jin par Surah al-Baqarah nazil hui thi yani Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam)
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1753
وقال محمد، حدثنا عثمان بن عمر، اخبرنا يونس، عن الزهري، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كان إذا رمى الجمرة التي تلي مسجد منى يرميها بسبع حصيات يكبر كلما رمى بحصاة، ثم تقدم امامها فوقف مستقبل القبلة رافعا يديه يدعو، وكان يطيل الوقوف ثم ياتي الجمرة الثانية فيرميها بسبع حصيات يكبر كلما رمى بحصاة، ثم ينحدر ذات اليسار مما يلي الوادي فيقف مستقبل القبلة رافعا يديه يدعو، ثم ياتي الجمرة التي عند العقبة فيرميها بسبع حصيات يكبر عند كل حصاة، ثم ينصرف ولا يقف عندها" , قال الزهري: سمعت سالم بن عبد الله يحدث مثل هذا، عن ابيه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، وكان ابن عمر يفعله.
Aur Muhammad Bin Bashar ne kaha ke hum se Usman Bin Umar ne bayan kiya, unhein Yunus ne khabar di aur unhein Zuhri ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) jab is jamrah ki rami karte jo Mina ki masjid ke nazdeek hai to saat kankariyon se rami karte aur har kankari ke sath takbeer «Allahu Akbar» kehte, phir aage barhte aur qibla rukh kharay ho kar dono hath utha kar duayein karte thay, yahan Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) bohat der tak kharay rehte thay phir jamrah saniya (wusta) ke paas aate yahan bhi saat kankariyon se rami karte aur har kankari ke sath «Allahu Akbar» kehte, phir bayein taraf nale ke qareeb utar jate aur wahan bhi qibla rukh kharay hote aur hathon ko utha kar dua karte rehte, phir jamrah aqabah ke paas aate aur yahan bhi saat kankariyon se rami karte aur har kankari ke sath «Allahu Akbar» kehte, is ke baad wapas ho jate yahan Aap dua ke liye theherte nahi thay. Zuhri ne kaha ke mein ne Salim se suna wo bhi isi tarah apne walid (Ibn Umar Radi Allahu Anhuma) se Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki hadees bayan karte thay aur ye ke Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) khud bhi isi tarah kiya karte thay
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1752
حدثنا إسماعيل بن عبد الله، قال: حدثني اخي، عن سليمان، عن يونس بن يزيد، عن ابن شهاب، عن سالم بن عبد الله، ان عبد الله بن عمر رضي الله عنهما" كان يرمي الجمرة الدنيا بسبع حصيات، ثم يكبر على إثر كل حصاة، ثم يتقدم فيسهل، فيقوم مستقبل القبلة قياما طويلا فيدعو ويرفع يديه، ثم يرمي الجمرة الوسطى، كذلك فياخذ ذات الشمال فيسهل، ويقوم مستقبل القبلة قياما طويلا فيدعو ويرفع يديه، ثم يرمي الجمرة ذات العقبة من بطن الوادي ولا يقف عندها، ويقول: هكذا رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم يفعل".
Hum se Ismail Bin Abdullah ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se mere bhai (Abdul Hameed) ne bayan kiya, un se Sulaiman ne bayan kiya, un se Yunus Bin Yazid ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne bayan kiya, un se Salim Bin Abdullah ne bayan kiya ke Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) pehle jamrah ki rami saat kankariyon ke sath karte aur har kankari par «Allahu Akbar» kehte thay, is ke baad aage barhte aur ek narm hamwar zameen par qibla rukh kharay ho jate, duayein karte rehte aur dono hathon ko uthate phir jamrah wusta ki rami mein bhi isi tarah karte aur bayein taraf aage barh kar ek narm zameen par qibla rukh kharay ho jate, bohat der tak isi tarah kharay ho kar duayein karte rehte, phir jamrah aqabah ki rami batn-e-wadi se karte lekin wahan theherte nahi thay, Aap farmate thay ke mein ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki isi tarah karte dekha hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة