الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الوضوء
Kitab: Wuzu ke bayan mein
باب المضمضة فى الوضوء:
Bab: Wudu mein kulli karna.
Hadith Number: 164
حدثنا ابو اليمان، قال: اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني عطاء بن يزيد، عن حمران مولى عثمان بن عفان، انه راى عثمان بن عفان دعا بوضوء، فافرغ على يديه من إنائه فغسلهما ثلاث مرات، ثم ادخل يمينه في الوضوء، ثم تمضمض واستنشق واستنثر، ثم غسل وجهه ثلاثا ويديه إلى المرفقين ثلاثا، ثم مسح براسه، ثم غسل كل رجل ثلاثا، ثم قال: رايت النبي صلى الله عليه وسلم يتوضا نحو وضوئي هذا، وقال:" من توضا نحو وضوئي هذا، ثم صلى ركعتين لا يحدث فيهما نفسه، غفر الله له ما تقدم من ذنبه".
Hum se Abul Yamaan ne bayan kiya, kaha hum ko Sho’aib ne Zohri ke waaste se khabar di, kaha hum ko ’Ata bin Yazeed ne Humran Maula Uthman bin Affan Radhiallahu Anhu ke waaste se khabar di, unhon ne Uthman Radhiallahu Anhu ko dekha ke unhon ne Wuzu ka paani mangwaaya aur apne dono haathon par bartan se paani (le kar) daala. Phir dono haathon ko teen dafa dhoya. Phir apna dahna haath Wuzu kar ke paani mein daala. Phir kulli ki, phir naak mein paani diya, phir naak saaf ki. Phir teen dafa apna munh dhoya aur kohniyon tak teen dafa haath dhoye, phir apne sar ka masah kiya. Phir har ek paaon teen dafa dhoya. Phir farmaaya main ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ko dekha ke Aap mere is Wuzu jaisa Wuzu farmaaya karte the aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke jo shakhs mere is Wuzu jaisa Wuzu kare aur (huzoor-e-qalb se) do rakat padhe jis mein apne dil se baatein na kare. To Allah Ta’ala us ke pichle gunaah mu’aaf kar deta hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 159
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله الاويسي، قال: حدثني إبراهيم بن سعد، عن ابن شهاب، ان عطاء بن يزيد اخبره، ان حمران مولىعثمان اخبره، انه راى عثمان بن عفان دعا بإناء، فافرغ على كفيه ثلاث مرار فغسلهما، ثم ادخل يمينه في الإناء فمضمض واستنشق، ثم غسل وجهه ثلاثا ويديه إلى المرفقين ثلاث مرار، ثم مسح براسه، ثم غسل رجليه ثلاث مرار إلى الكعبين، ثم قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" من توضا نحو وضوئي هذا، ثم صلى ركعتين لا يحدث فيهما نفسه غفر له ما تقدم من ذنبه".
Hum se Abdul ’Aziz bin Abdullah Al-Uwaisi ne bayan kiya, unhon ne kaha mujh se Ibrahim bin Sa’d ne bayan kiya, woh Ibn-e-Shihaab se naql karte hain, unhein ’Ata bin Yazeed ne khabar di, unhein Humran Uthman ke Maula ne khabar di ke unhon ne Uthman bin Affan Radhiallahu Anhu ko dekha, unhon ne (Humran se) paani ka bartan maanga. (Aur le kar pehle) apni hatheliyon par teen martaba paani daala phir unhein dhoya. Us ke baad apna dahna haath bartan mein daala. Aur (paani le kar) kulli ki aur naak saaf ki, phir teen baar apna chehra dhoya aur kohniyon tak teen baar dono haath dhoye phir apne sar ka masah kiya phir (paani le kar) takhnon tak teen martaba apne dono paaon dhoye. Phir kaha ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya hai ke jo shakhs meri tarah aisa Wuzu kare, phir do rakat padhe, jis mein apne nafs se koi baat na kare. To us ke guzashta gunaah mu’aaf kar diye jaate hain.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 160
وعن إبراهيم، قال: قال صالح بن كيسان، قال ابن شهاب: ولكن عروة يحدث، عن حمران، فلما توضا عثمان، قال: الا احدثكم حديثا لولا آية ما حدثتكموه، سمعت النبي صلى الله عليه وسلم يقول: لا يتوضا رجل فيحسن وضوءه ويصلي الصلاة، إلا غفر له ما بينه وبين الصلاة حتى يصليها. قال عروة الآية: إن الذين يكتمون ما انزلنا من البينات سورة البقرة آية 159.
Aur riwayat ki Abdul Aziz ne Ibrahim se, unhon ne Saleh bin Kaisaan se, unhon ne Ibn-e-Shihaab se, lekin Urwah Humran se riwayat karte hain ke jab Uthman Radhiallahu Anhu ne Wuzu kiya to farmaaya main tum ko ek Hadees sunaata hun, agar Quran-e-Paak ki ek Aayat (naazil) na hoti to main yeh Hadees tum ko na sunaata. Main ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se suna hai ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam farmaate the ke jab bhi koi shakhs achchi tarah Wuzu karta hai aur (khuloos ke saath) Namaz padhta hai to us ke ek Namaz se doosri Namaz ke padhne tak ke gunaah mu’aaf kar diye jaate hain. Urwah kehte hain woh Aayat yeh hai «إِنَّ الَّذِينَ يَكْتُمُونَ مَا أَنْزَلْنَا مِنَ الْبَيِّنَاتِ» (Jis ka tarjumah yeh hai ke) Jo log Allah ki us naazil ki hue hidaayat ko chupaate hain jo us ne logon ke liye apni kitaab mein bayan ki hai. Un par Allah ki la’nat hai aur (doosre) la’nat karne waalon ki la’nat hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6433
حدثنا سعد بن حفص، حدثنا شيبان، عن يحيى، عن محمد بن إبراهيم القرشي، قال: اخبرني معاذ بن عبد الرحمن، ان حمران بن ابان، اخبره، قال: اتيت عثمان بن عفان بطهور وهو جالس على المقاعد، فتوضا فاحسن الوضوء، ثم قال: رايت النبي صلى الله عليه وسلم توضا وهو في هذا المجلس فاحسن الوضوء، ثم قال:" من توضا مثل هذا الوضوء، ثم اتى المسجد فركع ركعتين، ثم جلس غفر له ما تقدم من ذنبه، قال: وقال النبي صلى الله عليه وسلم: لا تغتروا".
Hum se Saad bin Hafs ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Shayban bin Abd-ur-Rahman ne bayan kiya , in se Yahya ne bayan kiya , in se Muhammad bin Ibrahim Qurashi ne bayan kiya ke mujhe Maaz bin Abd-ur-Rahman ne khabar di , unhein Humran bin Abaan ne khabar di , unhon ne kaha ke main Usman razi Allahu anhu ke liye wuzu ka pani le kar aaya woh chabootre par baithe huay thay , phir unhon ne achhi tarah wuzu kiya . Is ke baad kaha ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko isi jagah wuzu karte huay dekha tha . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne achhi tarah wuzu kiya , phir farmaya ke jis ne is tarah wuzu kiya aur phir masjid mein aa kar do rakat namaz parhi to is ke pichhle gunah maaf ho jaate hain . Bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is par yeh bhi farmaya ke is par maghroor na ho jao .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة