الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الوضوء
Kitab: Wuzu ke bayan mein
باب الاستجمار وترا:
Bab: Taaq adad (dhailon) se istinja karna chahiye.
Hadith Number: 162
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا توضا احدكم فليجعل في انفه ثم لينثر، ومن استجمر فليوتر، وإذا استيقظ احدكم من نومه فليغسل يده قبل ان يدخلها في وضوئه، فإن احدكم لا يدري اين باتت يده".
Hum se Abdullah bin Yousuf ne bayan kiya, kaha hum ko Malik ne Abuz Zinaad ke waaste se khabar di, woh A’raj se, woh Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se naql karte hain ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke jab tum mein se koi Wuzu kare to use chaahiye ke apni naak mein paani de phir (use) saaf kare aur jo shakhs paththaron se istinja kare use chaahiye ke be-jod adad (yani ek ya teen) se istinja kare aur jab tum mein se koi so kar uthe, to Wuzu ke paani mein haath daalne se pehle use dho le. Kiunki tum mein se koi nahi jaanta ke raat ko us ka haath kahan raha hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 161
حدثنا عبدان، قال: اخبرنا عبد الله، قال: اخبرنا يونس، عن الزهري، قال: اخبرني ابو إدريس، انه سمع ابا هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، انه قال:" من توضا فليستنثر، ومن استجمر فليوتر".
Hum se Abdan ne bayan kiya, kaha unhein Younus ne Zohri ke waaste se khabar di, kaha unhein Abu Idrees ne bataaya, unhon ne Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se suna, woh Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se naql karte hain ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya jo shakhs Wuzu kare use chaahiye ke naak saaf kare aur jo paththar se istinja kare use chaahiye ke taaq adad (yani ek ya teen ya paanch hi) se kare.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة