الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الحج
Kitab: Hajj ke masail ka bayan
باب التمتع:
Bab: Nabi kareem salla allahu alaihi wasallam ke zamana mein tamattu ka jari hona
Show diacritics
Hadith Number: 1571
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا همام، عن قتادة، قال: حدثني مطرف، عن عمران رضي الله عنه، قال:" تمتعنا على عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم، فنزل القرآن، قال رجل: برايه ما شاء".
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya , kaha ke hum se Hammam bin Yahya ne Qatada se byaan kiya kaha ke mujh se Mutarrif ne Imran bin Husain se byaan kiya , unhon ne kaha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke zamana mein hum ne tamattu kiya tha aur khud Quran mein tamattu ka hukm nazil hua tha . Ab ek shakhs ne apni rai se jo chaha keh diya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4518
حدثنا مسدد , حدثنا يحيى , عن عمران ابي بكر , حدثنا ابو رجاء، عن عمران بن حصين رضي الله عنهما , قال:" انزلت آية المتعة في كتاب الله، ففعلناها مع رسول الله صلى الله عليه وسلم ولم ينزل قرآن يحرمه ولم ينه عنها حتى مات"، قال رجل: برايه ما شاء.
Hum se Musaddad ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Yahya ne byaan kiya , un se Imran Abi Bakr ne , un se Abu Rajaa ne byaan kiya aur un se Imran bin Husain razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke (hajj mein) tamattu ka hukm Quran mein nazil hua aur hum ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath tamattu ke saath (hajj) kiya , phir is ke baad Quran ne is se nahi roka aur na is se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne roka , yahan tak ke Aap ki wafat ho gayi (lehaza tamattu ab bhi jaiz hai) yeh to ek sahab ne apni rai se jo chaha keh diya hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة