الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الوضوء
Kitab: Wuzu ke bayan mein
باب الوضوء مرة مرة:
Bab: Wudu mein har uzw ko ek ek dafa dhona bhi sabit hai.
Hadith Number: 157
حدثنا محمد بن يوسف، قال: حدثنا سفيان، عن زيد بن اسلم، عن عطاء بن يسار، عن ابن عباس، قال:" توضا النبي صلى الله عليه وسلم مرة مرة".
Hum se Muhammed bin Yousuf ne bayan kiya, un se Sufyan ne Zaid bin Aslam ke waaste se bayan kiya, woh Ata bin Yasaar se, woh Ibn-e-Abbas Radhiallahu Anhuma se riwayat karte hain ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Wuzu mein har uzw ko ek ek martaba dhoya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 158
حدثنا حسين بن عيسى، قال: حدثنا يونس بن محمد، قال: حدثنا فليح بن سليمان، عن عبد الله بن ابي بكر بن عمرو بن حزم، عن عباد بن تميم، عن عبد الله بن زيد،" ان النبي صلى الله عليه وسلم توضا مرتين مرتين".
Hum se Husain bin Esa ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Younus bin Muhammed ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Fulaih bin Sulaiman ne Abdullah bin Abi Bakr bin Muhammed bin ’Amr bin Hazm ke waaste se bayan kiya, woh Abbad bin Tameen se naql karte hain, woh Abdullah bin Zaid Radhiallahu Anhu ke waaste se bayan karte hain ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Wuzu mein aazaa ko do do baar dhoya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 197
حدثنا احمد بن يونس، قال: حدثنا عبد العزيز بن ابي سلمة، قال: حدثنا عمرو بن يحيى، عن ابيه، عن عبد الله بن زيد، قال:" اتى رسول الله صلى الله عليه وسلم فاخرجنا له ماء في تور من صفر، فتوضا فغسل وجهه ثلاثا ويديه مرتين مرتين، ومسح براسه فاقبل به وادبر، وغسل رجليه".
Hum se Ahmad bin Younus ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abdul ’Aziz bin Abi Salamah ne bayan kiya, un se ’Amr bin Yahya ne apne baap ke waaste se bayan kiya, woh Abdullah bin Zaid se naql karte hain, woh kehte hain ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam (hamaare ghar) tashreef laaye, hum ne Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke liye taambe ke bartan mein paani nikala. (Us se) Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Wuzu kiya. Teen baar chehra dhoya, do do baar haath dhoye aur sar ka masah kiya. (Is tarah ke) pehle aage ki taraf (haath) laaye. Phir peeche ki jaanib le gaye aur pair dhoye.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة