الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الزكاة
Kitab: Zakat ke masail ka bayan
باب الصدقة قبل العيد:
Sadaqa fitr namaz eid se pehle ada karna.
Hadith Number: 1510
حدثنا معاذ بن فضالة، حدثنا ابو عمر، عن زيد، عن عياض بن عبد الله بن سعد، عن ابي سعيد الخدري رضي الله عنه، قال:"كنا نخرج في عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم يوم الفطر صاعا من طعام"، وقال ابو سعيد: وكان طعامنا الشعير والزبيب والاقط والتمر.
Hum se Maaz bin Fadhalah ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Abu Amru Hafs bin Maisarah ne byaan kiya ‘ un se Zaid bin Aslam ne byaan kiya ‘ un se Iyadh bin Abdullah bin Saad ne ‘ un se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne byaan kiya ke hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke zamana mein Eid-ul-Fitr ke din (khane ke ghalla se) ek saa' nikalte thay . Abu Saeed razi Allahu anhu ne byaan kiya ke hamara khana (in dino) jau , zabeeib , paneer aur khajoor tha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1505
حدثنا قبيصة بن عقبة، حدثنا سفيان، عن زيد بن اسلم، عن عياض بن عبد الله، عن ابي سعيد رضي الله عنه، قال:" كنا نطعم الصدقة صاعا من شعير".
Hum se Qabisah bin Uqbah ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Sufyan ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Zaid bin Aslam ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Iyadh bin Abdullah ne byaan kiya aur un se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne byaan kiya ke hum ek saa' ”jau“ ka sadqa diya karte thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة