الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الزكاة
Kitab: Zakat ke masail ka bayan
باب صدقة الفطر صاعا من طعام:
Gehun ya dusra anaaj bhi sadaqa fitr mein ek saa hona chahiye.
Hadith Number: 1506
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن زيد بن اسلم، عن عياض بن عبد الله بن سعد بن ابي سرح العامري، انه سمع ابا سعيد الخدري رضي الله عنه، يقول:" كنا نخرج زكاة الفطر صاعا من طعام او صاعا من شعير او صاعا من تمر او صاعا من اقط او صاعا من زبيب".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke humein Imam Malik ne khabar di ‘ un se Zaid bin Aslam ne byaan kiya ‘ un se Iyadh bin Abdullah bin Saad bin Abi Sarh Aamiri ne byaan kiya ‘ ke unhon ne Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu se suna . Aap farmate thay ke hum fitra ki zakat ek saa' anaaj ya gehoon ya ek saa' jau ya ek saa' khajoor ya ek saa' paneer ya ek saa' zabeeib (khushk angoor ya anjeer) nikala karte thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1505
حدثنا قبيصة بن عقبة، حدثنا سفيان، عن زيد بن اسلم، عن عياض بن عبد الله، عن ابي سعيد رضي الله عنه، قال:" كنا نطعم الصدقة صاعا من شعير".
Hum se Qabisah bin Uqbah ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Sufyan ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Zaid bin Aslam ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Iyadh bin Abdullah ne byaan kiya aur un se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne byaan kiya ke hum ek saa' ”jau“ ka sadqa diya karte thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة