الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الوضوء
Kitab: Wuzu ke bayan mein
باب الاستنجاء بالماء:
Bab: Pani se taharat karna behtar hai.
Show diacritics
Hadith Number: 150
حدثنا ابو الوليد هشام بن عبد الملك، قال: حدثنا شعبة، عن ابي معاذ واسمه عطاء بن ابي ميمونة، قال: سمعت انس بن مالك، يقول:" كان النبي صلى الله عليه وسلم إذا خرج لحاجته اجيء انا وغلام معنا إداوة من ماء، يعني يستنجي به".
Hum se Abul Waleed Hisham bin Abdul Malik ne bayan kiya, un se Sho’bah ne Abu Mu’aaz se jin ka naam Ata bin Abi Maimunah tha naql kiya, unhon ne Anas bin Malik Radhiallahu Anhu se suna, woh kehte the ke jab Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam rafa-e-haajat ke liye nikalte to main aur ek ladka apne saath paani ka bartan le aate the. Matlab yeh hai ke us paani se Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam tahaarat kiya karte the.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 151
حدثنا سليمان بن حرب، قال: حدثنا شعبة، عن ابي معاذ هو عطاء بن ابي ميمونة، قال: سمعت انسا، يقول:" كان رسول الله صلى الله عليه وسلم إذا خرج لحاجته تبعته انا وغلام منا معنا إداوة من ماء".
Hum se Sulaiman bin Harb ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Sho’bah ne bayan kiya, woh Ata bin Abi Maimunah se naql karte hain, unhon ne Anas Radhiallahu Anhu se suna, woh kehte hain ke jab Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam qazaa-e-haajat ke liye nikalte, main aur ek ladka dono Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke peeche jaate the aur hamaare saath paani ka ek bartan hota tha.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 152
حدثنا محمد بن بشار، قال: حدثنا محمد بن جعفر، قال: حدثنا شعبة، عن عطاء بن ابي ميمونة، سمع انس بن مالك، يقول:" كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يدخل الخلاء، فاحمل انا وغلام إداوة من ماء وعنزة يستنجي بالماء"، تابعه النضر وشاذان، عن شعبة، العنزة عصا عليه زج.
Hum se Muhammed bin Bashshaar ne bayan kiya, un se Muhammed bin Ja’far ne, un se Sho’bah ne Ata bin Abi Maimunah ke waaste se bayan kiya, unhon ne Anas bin Malik se suna, woh kehte the ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam bait-ul-khala mein jaate to main aur ek ladka paani ka bartan aur nezah le kar chalte the. Paani se Aap tahaarat karte the, (doosri sanad se) Nazr aur Shaazaan ne is Hadees ki Sho’bah se Mutaba’at ki hai. Anazah laathi ko kehte hain jis par phalka laga huwa ho.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 217
حدثنا يعقوب بن إبراهيم، قال: حدثنا إسماعيل بن إبراهيم، قال: حدثني روح بن القاسم، قال: حدثني عطاء بن ابي ميمونة، عن انس بن مالك، قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم إذا تبرز لحاجته اتيته بماء فيغسل به".
Hum se Ya’qoob bin Ibrahim ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Ismail bin Ibrahim ne khabar di, kaha mujhe Rooh bin Al-Qasim ne batlaaya, kaha mujh se Ata bin Abi Maimunah ne bayan kiya, woh Anas bin Malik Radhiallahu Anhu se riwayat karte hain ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam jab rafa-e-haajat ke liye bahar tashreef le jaate to main Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke paas paani laata. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam us se istinja farmaate.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 500
حدثنا محمد بن حاتم بن بزيع، قال: حدثنا شاذان، عن شعبة، عن عطاء بن ابي ميمونة، قال: سمعت انس بن مالك، قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم إذا خرج لحاجته تبعته انا وغلام ومعنا عكازة او عصا او عنزة ومعنا إداوة، فإذا فرغ من حاجته ناولناه الإداوة".
Hum se Muhammad bin Hatim bin Bazee ne bayan kiya , kaha ke hum se Shazan bin Aamir ne Shoba bin Hajjaj ke wastay se bayan kiya , unhon ne Ata bin Abi Maimoona se , unhon ne kaha ke mein ne Anas bin Malik raziyallahu anhu se suna ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam jab raf e hajat ke liye nikalte to mein aur ek aur larka aap salla Allahu alaihi wa sallam ke peechay peechay jate . Hamare sath akaza danda jis ke neechay lohe ka phal laga hua ho ya chhari ya anza hota . Aur hamare sath ek chhagal bhi hota tha . Jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam hajat se farigh ho jate to hum aap salla Allahu alaihi wa sallam ko woh chhagal de dete thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة