الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الزكاة
Kitab: Zakat ke masail ka bayan
باب من أعطاه الله شيئا من غير مسألة ولا إشراف نفس:
Agar Allah Pak kisi ko bin maange aur bin dil lagaaye aur ummeedwaar rahe koi cheez dila de (to us ko le le).
Hadith Number: 1473
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن يونس، عن الزهري، عن سالم، ان عبد الله بن عمر رضي الله عنهما , قال: سمعت عمر , يقول:" كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يعطيني العطاء، فاقول اعطه من هو افقر إليه مني، فقال: خذه إذا جاءك من هذا المال شيء وانت غير مشرف ولا سائل فخذه، وما لا فلا تتبعه نفسك".
Hum se Yahya bin Bukair ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Layth ne byaan kiya ‘ un se Yunus ne ‘ un se Zuhri ne ‘ un se Salim ne aur un se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne ke maine Umar razi Allahu anhu se suna woh kehte thay ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam mujhe koi cheez ata farmate to main arz karta ke Aap salla Allahu alaihi wasallam mujh se zyada muhtaj ko de dijaiye . Lekin Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam farmate ke le lo ‘ agar tumhein koi aisa maal mile jis par tumhara khayal na laga hua ho aur na tum ne isay manga ho to isay qabool kar liya karo . Aur jo na mile to is ki parwah na karo aur is ke peeche na paro .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7164
وعن الزهري، قال: حدثني سالم بن عبد الله، ان عبد الله بن عمر، قال: سمعت عمر بن الخطاب، يقول: كان النبي صلى الله عليه وسلم يعطيني العطاء، فاقول: اعطه افقر إليه مني، حتى اعطاني مرة مالا، فقلت: اعطه من هو افقر إليه مني، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: خذه فتموله وتصدق به، فما جاءك من هذا المال وانت غير مشرف ولا سائل فخذه ومالا، فلا تتبعه نفسك.
`Aur Zuhri se riwayat hai unhon ne bayan kiya ke mujh se Salim bin Abdullah ne bayan kiya, un se Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne ke mein ne Umar Radi Allahu Anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم mujhe ata karte thay to mein kehta ke Aap ise de dein jo is ka mujh se zyada zaroorat-mand ho, phir Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne mujhe ek martaba maal diya aur mein ne kaha ke Aap ise aise shakhs ko de dein jo is ka mujh se zyada zaroorat-mand ho to Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke ise le lo aur is ke malik banne ke baad is ka sadqa kar do. Yeh maal jab tumhein is tarah mile ke tum is ke khwahish-mand na ho aur na ise tum ne manga ho to ise le liya karo aur jo is tarah na mile is ke peeche na pada karo.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7163
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، اخبرني السائب بن يزيد ابن اخت نمر، ان حويطب بن عبد العزى اخبره، ان عبد الله بن السعدي اخبره، انه قدم على عمر في خلافته، فقال له عمر:" الم احدث انك تلي من اعمال الناس اعمالا؟، فإذا اعطيت العمالة كرهتها، فقلت: بلى، فقال عمر: فما تريد إلى ذلك، قلت:" إن لي افراسا واعبدا وانا بخير واريد ان تكون عمالتي صدقة على المسلمين، قال عمر: لا تفعل فإني كنت اردت الذي اردت فكان رسول الله صلى الله عليه وسلم يعطيني العطاء فاقول اعطه افقر إليه مني، حتى اعطاني مرة مالا، فقلت: اعطه افقر إليه مني، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: خذه فتموله وتصدق به، فما جاءك من هذا المال وانت غير مشرف ولا سائل، فخذه وإلا فلا تتبعه نفسك"،
`Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuaib ne khabar di, unhein Zuhri ne, unhein Namir ke bhanje Saib bin Yazid ne khabar di, unhein Huwaitab bin Abdul Uzza ne khabar di, unhein Abdullah bin al-Sa'idi ne khabar di ke wo Umar Radi Allahu Anhu ke paas un ke zamana-e-khilafat mein aaye to un se Umar Radi Allahu Anhu ne poocha: kya mujh se yeh jo kaha gaya hai wo sahih hai ke tumhein logon ke kaam supard kiye jate hain aur jab is ki tankhwah di jati hai tu tum ise lena pasand nahi karte? Mein ne kaha ke yeh sahih hai. Umar Radi Allahu Anhu ne kaha ke tumhara is se maqsad kya hai? Mein ne arz kiya ke mere paas ghode aur gulam hain aur mein khush-haal hoon aur mein chahta hoon ke meri tankhwah musalmanon par sadqa ho jaye. Umar Radi Allahu Anhu ne farmaya ke aisa na karo kyunke mein ne bhi is ka irada kiya tha jis ka tum ne irada kiya hai Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم mujhe ata karte thay to mein arz kar deta tha ke ise mujh se zyada is ke zaroorat-mand ko ata farma dijiye. Aakhir Aap ne ek martaba mujhe maal ata kiya aur mein ne wahi baat doharayi ke ise aise shakhs ko de dijiye jo is ka mujh se zyada zaroorat-mand ho to Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke ise lo aur is ke malik banne ke baad is ka sadqa karo. Yeh maal jab tumhein is tarah mile ke tum is ke na khwahish-mand ho aur na ise manga to ise le liya karo aur agar is tarah na mile to is ke peeche na pada karo.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة