الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الزكاة
Kitab: Zakat ke masail ka bayan
باب الزكاة على الزوج والأيتام فى الحجر:
Aurat ka khud apne shauhar ko ya apni zair-e-tarbiyat yateem bachon ko zakat dena.
Hadith Number: 1467
حدثنا عثمان بن ابي شيبة، حدثنا عبدة، عن هشام، عن ابيه، عن زينب بنت ام سلمة، عن ام سلمة , قالت: قلت:" يا رسول اللهالي اجر ان انفق على بني ابي سلمة إنما هم بني؟ , فقال: انفقي عليهم، فلك اجر ما انفقت عليهم".
Hum se Uthman bin Abi Shaiba ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Abdah ne ‘ un se Hisham ne byaan kiya ‘ un se un ke baap ne ‘ un se Zainab bint Umm Salamah ne ‘ un se Umm Salamah ne ‘ unhon ne kaha ke maine arz kiya ‘ Ya Rasool Allah! Agar main Abu Salamah (apne pehle khawand) ke beton par kharch karoon to durust hai ya nahi . Kyunke woh meri bhi aulaad hain . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke haan in par kharch kar . To jo kuch bhi in par kharch kare gi is ka sawab tujh ko mile ga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5369
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا وهيب، اخبرنا هشام، عن ابيه، عن زينب بنت ابي سلمة، عن ام سلمة، قلت:" يا رسول الله، هل لي من اجر في بني ابي سلمة ان انفق عليهم ولست بتاركتهم هكذا وهكذا إنما هم بني؟ قال: نعم، لك اجر ما انفقت عليهم".
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya , kaha hum se Wuhaib ne byaan kiya , unhein Hisham ne khabar di , unhein un ke walid ne , unhein Zaynub bint Abi Salamah razi Allahu anha ne ke Umm Salamah razi Allahu anha ne byaan kiya ke main ne arz kiya: ya Rasool Allah! kiya mujhe Abu Salamah (in ke pehle shohar) ke larkon ke baare mein sawab mile ga agar main in par kharch karoon . Main unhein is muhtaji mein dekh nahi sakti , woh meere bete hi to hain . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke haan , tumhein har is cheez ka sawab mile ga jo tum in par kharch karo gi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة