الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الزكاة
Kitab: Zakat ke masail ka bayan
باب من تصدق فى الشرك ثم أسلم:
Is baare mein ke jis ne shirk ki haalat mein sadaqa diya aur phir Islam le aaya.
Show diacritics
Hadith Number: 1436
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا هشام، حدثنا معمر، عن الزهري، عن عروة , عن حكيم بن حزام رضي الله عنه , قال:" قلت يا رسول الله، ارايت اشياء كنت اتحنث بها في الجاهلية من صدقة او عتاقة وصلة رحم، فهل فيها من اجر؟ فقال النبي صلى الله عليه وسلم: اسلمت على ما سلف من خير".
Hum se Abdullah bin Muhammad Musandi ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Hisham ne byaan kiya ‘ kaha ke humein Mamar ne Zuhri se khabar di ‘ unhein Urwah ne aur un se Hakeem bin Hizam razi Allahu anhu ne byaan kiya ke maine arz kiya Ya Rasool Allah! In naik kaamon se mutalliq Aap kya farmate hain jinhein main jahiliyat ke zamana mein sadqa ‘ ghulam aazad karne aur silah-e-rehmi ki soorat mein kiya karta tha . Kya un ka mujhe sawab mile ga ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tum apni in tamam nekiyon ke saath Islam laye ho jo pehle guzar chuki hain .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2220
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني عروة بن الزبير، ان حكيم بن حزام اخبره، انه قال:" يا رسول الله، ارايت امورا كنت اتحنث، او اتحنت بها في الجاهلية من صلة، وعتاقة، وصدقة، هل لي فيها اجر؟ قال حكيم رضي الله عنه: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: اسلمت على ما سلف لك من خير".
Hum se Abu-al-Waliman ne bayan kiya, kaha ke hum ko Shuaib ne khabar di, unhein Zuhri ne, kaha ke mujhe Urwah Bin Zubair (Radi Allahu Anhu) ne khabar di unhein Hakim Bin Hizam (Radi Allahu Anhu) ne khabar di ke unhon ne poocha ya Rasul Allah! in naik kamon ke mutaliq aap ka kya hukm hai, jinhein mein jahiliyat ke zamana mein sila rahmi, ghulam azad karne aur sadqa dene ke silsila mein kiya karta tha kya in amal ka bhi mujhe sawab mile ga ? Hakim Bin Hizam (Radi Allahu Anhu) farmate hain ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya jitni naikiyaan tum pehle kar chuke ho in sab ke sath Islam laye ho
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2538
حدثنا عبيد بن إسماعيل، حدثنا ابو اسامة، عن هشام، اخبرني ابي، ان حكيم بن حزام رضي الله عنه" اعتق في الجاهلية مائة رقبة وحمل على مائة بعير، فلما اسلم حمل على مائة بعير، واعتق مائة رقبة، قال: فسالت رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقلت: يا رسول الله، ارايت اشياء كنت اصنعها في الجاهلية، كنت اتحنث بها يعني اتبرر بها؟ قال: فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: اسلمت على ما سلف لك من خير".
Hum se Ubaid Bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Abu Usama ne bayan kiya, un se Hisham ne, unhein un ke walid ne khabar di ke Hakim Bin Hizam (Radi Allahu Anhu) ne apne kufr ke zamane mein sau ghalam azad kiye thay aur sau ont logon ki sawari ke liye diye thay. Phir jab Islam laye to sau ont logon ki sawari ke liye diye aur sau ghalam azad kiye. Phir unhon ne bayan kiya ke mein ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se poocha. Ya Rasul Allah! baaz in naik amaal ke mutalliq Aap ka kya khayal hai jinhon ne mein ba-niyat-e-sawab kufr ke zamana mein kiya karta tha (Hisham Bin Urwah ne kaha ke "ata-hannasu biha" ke maani "atabarraru biha" ke hain) unhon ne kaha ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne is par farmaya "Jo nekiyan tum pehle kar chuke ho wo sab qaim rahein gi."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5992
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني عروة بن الزبير، ان حكيم بن حزام، اخبره انه قال: يا رسول الله، ارايت امورا كنت اتحنث بها في الجاهلية من صلة وعتاقة وصدقة هل لي فيها من اجر؟ قال حكيم: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" اسلمت على ما سلف من خير" ويقال ايضا: عن ابي اليمان، اتحنث وقال معمر، وصالح، وابن المسافر، اتحنث، وقال ابن إسحاق: التحنث: التبرر، وتابعهم هشام، عن ابيه.
Hum se Abu al-Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuayb ne khabar di, unhein Zuhri ne kaha ke mujhe Urwah bin Zubayr ne khabar di aur unhein Hakeem bin Hizam ne khabar di, unhon ne arz kiya ke ya Rasool Allah! Aap ka in kaamon ke baare mein kya khayal hai jinhein main ibadat samajh kar zamana e jahiliyat mein karta tha maslan sila-rahmi, ghalam ki aazadi, sadqa, kya mujhe in par sawab mile ga? Hakeem razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya hai tum in tamam aamal e khair ke saath Islam laaye ho jo pehle kar chuke ho. Aur baazon ne Abu al-Yaman se bajaye «ata-hannasu» ke «ata-hattu» (ta ke saath) riwayat kiya hai aur Mamar aur Salih aur Ibn Musafir ne bhi «ata-hattu» riwayat kiya hai. Ibn Ishaq ne kaha «ata-hannasu» , «tahat» se nikla hai is ke maani misl aur ibadat karna. Hisham ne bhi apne walid Urwah se in logon ki mutabia-t ki hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 220
حدثنا ابو اليمان، قال: اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني عبيد الله بن عبد الله بن عتبة بن مسعود، ان ابا هريرة، قال: قام اعرابي فبال في المسجد فتناوله الناس، فقال لهم النبي صلى الله عليه وسلم:" دعوه وهريقوا على بوله سجلا من ماء او ذنوبا من ماء، فإنما بعثتم ميسرين ولم تبعثوا معسرين".
Hum se Abul Yamaan ne bayan kiya, unhon ne kaha hamein Sho’aib ne Zohri ke waaste se khabar di, unhon ne kaha mujhe Ubaidullah bin Abdullah bin ’Utbah bin Mas’ood ne khabar di ke Abu Hurairah Radhiallahu Anhu ne farmaaya ke ek a’raabi khada ho kar Masjid mein peshaab karne laga. To log us par jhapatne lage. (Yeh dekh kar) Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne logon se farmaaya ke use chhod do aur us ke peshaab par paani ka bhara huwa dol ya kuch kam bhara huwa dol baha do. Kiunki tum narmi ke liye bheje gaye ho, sakhti ke liye nahi.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة