الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الزكاة
Kitab: Zakat ke masail ka bayan
باب ما أدي زكاته فليس بكنز:
Jis maal ki zakat de di jaaye woh kanz (khazana) nahin hai.
Show diacritics
Hadith Number: 1404
وقال احمد بن شبيب بن سعيد، حدثنا ابي، عن يونس، عن ابن شهاب، عن خالد بن اسلم , قال:" خرجنا مع عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، فقال اعرابي: اخبرني عن قول الله: والذين يكنزون الذهب والفضة ولا ينفقونها في سبيل الله سورة التوبة آية 34، قال ابن عمررضي الله عنهما: من كنزها فلم يؤد زكاتها فويل له، إنما كان هذا قبل ان تنزل الزكاة، فلما انزلت جعلها الله طهرا للاموال".
Hum se Ahmad bin Shabeeb bin Saeed ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha hum se mere walid Shabeeb ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Yunus ne byaan kiya ‘ un se Ibn Shihab ne ‘ un se Khalid bin Aslam ne ‘ unhon ne byaan kiya ke hum Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ke saath kahin ja rahe thay . Ek aarabi ne Aap se poocha ke mujhe Allah Ta'ala ke is farmaan ki tafseer batlayiye ”jo log sone aur chandi ka khazana bana kar rakhte hain .“ Ibn Umar razi Allahu anhuma ne is ka jawab diya ke agar kisi ne sona chandi jama kiya aur is ki zakat na di to us ke liye «wayl» (kharabi) hai . Yeh hukm zakat ke ahkaam nazil hone se pehle tha lekin jab Allah Ta'ala ne zakat ka hukm nazil kar diya to ab wahi zakat maal o daulat ko paak kar dene wali hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4661
وقال احمد بن شبيب بن سعيد: حدثنا ابي، عن يونس، عن ابن شهاب، عن خالد بن اسلم، قال: خرجنا مع عبد الله بن عمر، فقال: هذا قبل ان تنزل الزكاة، فلما انزلت جعلها الله طهرا للاموال.
Ahmad bin Shabib bin Saeed ne kaha ke hum se mere walid (Shabib bin Saeed) ne byaan kiya , un se Yunus ne , un se Ibn Shihab ne aur un se Khalid bin Aslam ne ke hum Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ke saath niklay to unhon ne kaha ke yeh (mazkoora bala aayat) zakat ke hukm se pehle nazil hui thi . Phir jab zakat ka hukm ho gaya to Allah Ta'ala ne zakat se maalon ko paak kar diya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة