الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجنائز
Kitab: Janaze ke ahkam o masail
باب إذا أسلم الصبي فمات هل يصلى عليه وهل يعرض على الصبي الإسلام:
Ek bacha Islam laya phir us ka intiqaal ho gaya, to kya us ki namaz janaza parhi jaayegi? Aur kya bache ke saamne Islam ki dawat pesh ki ja sakti hai?
Show diacritics
Hadith Number: 1356
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا حماد وهو ابن زيد، عن ثابت، عن انس رضي الله عنه , قال:" كان غلام يهودي يخدم النبي صلى الله عليه وسلم فمرض، فاتاه النبي صلى الله عليه وسلم يعوده، فقعد عند راسه فقال له: اسلم، فنظر إلى ابيه , وهو عنده، فقال له: اطع ابا القاسم صلى الله عليه وسلم فاسلم، فخرج النبي صلى الله عليه وسلم وهو يقول: الحمد لله الذي انقذه من النار".
Hum se Sulayman bin Harb ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Hammad bin Zayd ne byaan kiya ‘ un se Thabit ne ‘ un se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne byaan kiya ke ek Yahudi larka (Abdul Quddus) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat kiya karta tha , ek din woh bimar ho gaya . Aap salla Allahu alaihi wasallam is ka mizaj maloom karne ke liye tashreef laaye aur is ke sarhane baith gaye aur farmaya ke Musalman ho ja . Us ne apne baap ki taraf dekha , baap wahin maujood tha . Us ne kaha ke (kya muzaiqa hai) Abul Qasim salla Allahu alaihi wasallam jo kuch kehte hain maan le . Chunanche woh bacha Islam le aaya . Jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam bahar nikle to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke shukr hai Allah Paak ka jis ne is bachay ko Jahannam se bacha liya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5657
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا حماد بن زيد، عن ثابت، عن انس رضي الله عنه" ان غلاما ليهود كان يخدم النبي صلى الله عليه وسلم فمرض، فاتاه النبي صلى الله عليه وسلم يعوده، فقال: اسلم". فاسلم، وقال سعيد بن المسيب عن ابيه: لما حضر ابو طالب جاءه النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Sulayman bin Harb ne bayan kiya, kaha hum se Hammad bin Zayd ne bayan kiya, in se Sabit ne aur in se Anas razi Allahu anhu ne ke ek Yahudi larka (Abdoos naami) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat kiya karta tha woh beemar hua to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam is ki mizaj-pursa ke liye tashreef laaye. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Islam qabool kar le chunanche us ne Islam qabool kar liya aur Saeed bin al-Musayyab ne bayan kiya apne walid se ke jab Abu Talib ki wafat ka waqt qareeb hua to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam in ke paas mizaj-pursa ke liye tashreef le gaye.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5656
حدثنا معلى بن اسد، حدثنا عبد العزيز بن مختار، حدثنا خالد، عن عكرمة، عن ابن عباس رضي الله عنهما" ان النبي صلى الله عليه وسلم دخل على اعرابي يعوده، قال: وكان النبي صلى الله عليه وسلم إذا دخل على مريض يعوده، فقال له: لا باس طهور إن شاء الله، قال: قلت طهور، كلا بل هي حمى تفور او تثور على شيخ كبير تزيره القبور، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" فنعم إذا".
Hum se Mualla bin Asad ne bayan kiya, kaha hum se Abdul Aziz bin Mukhtar ne bayan kiya, kaha hum se Khalid ne bayan kiya, in se Ikrimah ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ek dehati ke paas is ki iyadat ke liye tashreef le gaye. Rawi ne bayan kiya ke jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam kisi ki iyadat ko tashreef le jaate to mareez se farmate «la ba-sa tahoorun in sha Allahu» ”koi fikr ki baat nahi. In sha Allah yeh marz gunahon se paak karne wala hai“ lekin is dehati ne Aap ke in mubarak kalma-t ke jawab mein kaha ke Aap kehte hain ke yeh paak karne wala hai hargiz nahi balkay yeh bukhar ek burhay par ghalib aa gaya hai aur usay qabr tak pahuncha ke rahe ga. Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir aisa hi ho ga.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة