الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الوضوء
Kitab: Wuzu ke bayan mein
باب لا تقبل صلاة بغير طهور:
Bab: Is bare mein ke namaz baghair paaki ke qabool hi nahi hoti.
Hadith Number: 135
حدثنا إسحاق بن إبراهيم الحنظلي، قال: اخبرنا عبد الرزاق، قال: اخبرنا معمر، عن همام بن منبه، انه سمع ابا هريرة، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لا تقبل صلاة من احدث حتى يتوضا" قال رجل من حضرموت: ما الحدث يا ابا هريرة؟ قال: فساء او ضراط.
Hum se Ishaq bin Ibrahim Al-Hanzali ne bayan kiya. Unhein Abdur Razzaq ne khabar di, unhein Ma’mar ne Hammam bin Munabbih ke waaste se batlaaya ke unhon ne Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se suna, woh keh rahe the ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke jo shakhs hadas kare us ki Namaz qabool nahi hoti jab tak ke woh (dobarah) Wuzu na kar le. Hazramaut ke ek shakhs ne poocha ke hadas hona kiya hai? Aap ne farmaaya ke (paakhana ke maqam se nikalne waali) aawaaz waali ya be-aawaz waali hawa.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6954
حدثني إسحاق بن نصر، حدثنا عبد الرزاق، عن معمر، عن همام، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا يقبل الله صلاة احدكم إذا احدث حتى يتوضا".
Mujh se Ishaq ne bayan kiya , kaha hum se Abd-ul-Razzaq ne bayan kiya , in se Mamar ne , in se Humam ne , in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Allah Ta'ala tum mein se kisi aise shakhs ki namaz qabool nahi karta jise wuzu ki zaroorat ho yahan tak ke woh wuzu kar le .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة