الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب العمل في الصلاة
Kitab: Namaz ke kaam ke baare mein
باب بسط الثوب فى الصلاة للسجود:
Bab: Namaz mein sajde ke liye kapra bichhana kaisa hai?
Hadith Number: 1208
حدثنا مسدد، حدثنا بشر، حدثنا غالب القطان، عن بكر بن عبد الله، عن انس بن مالك رضي الله عنه , قال:" كنا نصلي مع النبي صلى الله عليه وسلم في شدة الحر، فإذا لم يستطع احدنا ان يمكن وجهه من الارض بسط ثوبه فسجد عليه".
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , kaha ke hum se Bishr bin Mufaddal ne byaan kiya , kaha ke hum se Ghalib bin Qattan ne byaan kiya , un se Bakr bin Abdullah Mazani ne aur un se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne ke hum sakht garmiyon mein jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath namaaz parhte aur chehre ko zameen par poori tarah rakhna mushkil ho jata to apna kapra bichha kar us par sajda kiya karte thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 385
حدثنا ابو الوليد هشام بن عبد الملك، قال: حدثنا بشر بن المفضل، قال: حدثني غالب القطان، عن بكر بن عبد الله، عن انس بن مالك، قال:" كنا نصلي مع النبي صلى الله عليه وسلم، فيضع احدنا طرف الثوب من شدة الحر في مكان السجود".
Hum se Abu al-Waleed Hisham bin Abdul Malik ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Bishr bin Mufazzal ne bayan kiya, unhon ne kaha mujhe Ghalib Qattan ne Bakr bin Abdullah ke wasite se bayan kiya, unhon ne Anas bin Malik Razi Allah Anhu se kaha ke hum Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke sath namaz padhte thay. Phir sakht garmi ki wajah se koi koi hum mein se apne kapre ka kinara sajde ki jagah rakh leta.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة