الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب التهجد
Kitab: Tahajjud ka bayan
باب الركعتين قبل الظهر:
Bab: Zuhr se pehle do rak’at sunnat parhna.
Hadith Number: 1181
حدثتني حفصة، انه كان إذا اذن المؤذن وطلع الفجر صلى ركعتين".
Mujh ko Umm al-Mumineen Hafsa razi Allahu anha ne batlaya ke muazzin jab azaan deta aur Fajr ho jaati to Aap salla Allahu alaihi wasallam do rakatain parhte .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 937
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن نافع، عن عبد الله بن عمر،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كان يصلي قبل الظهر ركعتين وبعدها ركعتين، وبعد المغرب ركعتين في بيته، وبعد العشاء ركعتين وكان لا يصلي بعد الجمعة حتى ينصرف فيصلي ركعتين".
Hum se Abdullah bin Yusuf Tanisi ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hamein Imam Malik rahmahu Allah ne Nafi se khabar di , un se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam Zohar se pehle do rakat , is ke baad do rakat aur Maghrib ke baad do rakat apne ghar mein parhte aur Isha ke baad do rakatein parhte aur Juma ke baad do rakatein jab ghar wapas hote tab parha karte thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1169
حدثنا بيان بن عمرو، حدثنا يحيى بن سعيد، حدثنا ابن جريج، عن عطاء، عن عبيد بن عمير، عن عائشة رضي الله عنها , قالت:" لم يكن النبي صلى الله عليه وسلم على شيء من النوافل اشد منه تعاهدا على ركعتي الفجر".
Hum se Bayan bin Amr ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Yahya bin Saeed Qattan ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Ibn Jurayj ne byaan kiya , un se Ata ne byaan kiya , un se Ubayd bin Umair ne , un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam kisi nafl namaaz ki Fajr ki do rakaton se zyada pabandi nahin karte thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1173
وحدثتني اختي حفصة ان النبي صلى الله عليه وسلم كان يصلي سجدتين خفيفتين بعد ما يطلع الفجر، وكانت ساعة لا ادخل على النبي صلى الله عليه وسلم فيها. تابعه كثير بن فرقد وايوب عن نافع. وقال ابن ابي الزناد عن موسى بن عقبة عن نافع بعد العشاء في اهله.
Un se (Ibn Umar razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke) meri behen Hafsa razi Allahu anha ne mujh se byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam Fajr hone ke baad do halki rakatain (sunnat Fajr) parhte aur yeh aisa waqt hota ke mein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke paas nahin jaati thi . Ubaydullah ke saath is hadees ko Kaseer bin Farqad aur Ayub ne bhi Nafi se riwayat kiya aur Ibn Abi al-Zanad ne is hadees ko Musa bin Uqbah se , unhon ne Nafi se riwayat kiya . Is mein «fi baytihi» ke badal «fi ahlihi» hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 618
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن نافع، عن عبد الله بن عمر، قال: اخبرتني حفصة،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كان إذا اعتكف المؤذن للصبح وبدا الصبح صلى ركعتين خفيفتين قبل ان تقام الصلاة".
Hum se Abdullah bin Yusuf Tinnisi ne bayan kiya , kaha ke humein Imam Malik ne Nafi se khabar di , unhon ne Abdullah bin Umar raziyallahu anhuma se , unhon ne kaha mujhe Umm ul Momineen Hafsa raziyallahu anha ne khabar di ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ki aadat thi ke jab moazzin subah ki azan subah sadiq ke tulu hone ke baad de chuka hota to aap salla Allahu alaihi wa sallam azan aur takbeer ke beech namaz qaim hone se pehle do halki si rakaten parhte .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة