الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب التهجد
Kitab: Tahajjud ka bayan
باب الركعتين قبل الظهر:
Bab: Zuhr se pehle do rak’at sunnat parhna.
Show diacritics
Hadith Number: 1180
حدثنا سليمان بن حرب , قال: حدثنا حماد بن زيد، عن ايوب، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما , قال:" حفظت من النبي صلى الله عليه وسلم عشر ركعات ركعتين قبل الظهر وركعتين بعدها وركعتين بعد المغرب في بيته وركعتين بعد العشاء في بيته وركعتين قبل صلاة الصبح، وكانت ساعة لا يدخل على النبي صلى الله عليه وسلم فيها.
Hum se Sulayman bin Harb ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Hammad bin Zayd ne byaan kiya , un se Ayub Sakhtiyani ne byaan kiya , un se Nafi ne , un se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne kaha ke mujhe Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se das rakat sunnatein yaad hain . Do rakat sunnat Zohar se pehle , do rakat sunnat Zohar ke baad , do rakat sunnat Maghrib ke baad apne ghar mein , do rakat sunnat Isha ke baad apne ghar mein aur do rakat sunnat subah ki namaaz se pehle aur yeh woh waqt hota tha jab Aap salla Allahu alaihi wasallam ke paas koi nahin jata tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 937
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن نافع، عن عبد الله بن عمر،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كان يصلي قبل الظهر ركعتين وبعدها ركعتين، وبعد المغرب ركعتين في بيته، وبعد العشاء ركعتين وكان لا يصلي بعد الجمعة حتى ينصرف فيصلي ركعتين".
Hum se Abdullah bin Yusuf Tanisi ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hamein Imam Malik rahmahu Allah ne Nafi se khabar di , un se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam Zohar se pehle do rakat , is ke baad do rakat aur Maghrib ke baad do rakat apne ghar mein parhte aur Isha ke baad do rakatein parhte aur Juma ke baad do rakatein jab ghar wapas hote tab parha karte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة