الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب التهجد
Kitab: Tahajjud ka bayan
باب التطوع بعد المكتوبة:
Bab: Farzon ke baad sunnat ka bayan.
Hadith Number: 1172
حدثنا مسدد , قال: حدثنا يحيى بن سعيد، عن عبيد الله , قال: اخبرنا نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما , قال:" صليت مع النبي صلى الله عليه وسلم سجدتين قبل الظهر وسجدتين بعد الظهر وسجدتين بعد المغرب وسجدتين بعد العشاء وسجدتين بعد الجمعة، فاما المغرب والعشاء ففي بيته"، وقال ابن ابي الزناد، عن موسى بن عقبة، عن نافع بعد العشاء في اهله، تابعه كثير بن فرقد، وايوب، عن نافع.
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Yahya bin Saeed Qattan ne byaan kiya , un se Ubaydullah Umari ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mujhe Nafi ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se khabar di , unhon ne kaha ke mein ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath Zohar se pehle do rakat sunnat , Zohar ke baad do rakat sunnat , Maghrib ke baad do rakat sunnat , Isha ke baad do rakat sunnat aur Juma ke baad do rakat sunnat parhi hain aur Maghrib aur Isha ki sunnatein Aap ghar mein parhte thay . Abuz Zanad ne Musa bin Uqbah ke wasta se byaan kiya aur un se Nafi ne ke Isha ke baad apne ghar mein (sunnat parhte thay) un ki riwayat ki mutaba'at Kaseer bin Farqad aur Ayub ne Nafi ke wasta se ki hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 937
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن نافع، عن عبد الله بن عمر،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كان يصلي قبل الظهر ركعتين وبعدها ركعتين، وبعد المغرب ركعتين في بيته، وبعد العشاء ركعتين وكان لا يصلي بعد الجمعة حتى ينصرف فيصلي ركعتين".
Hum se Abdullah bin Yusuf Tanisi ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hamein Imam Malik rahmahu Allah ne Nafi se khabar di , un se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam Zohar se pehle do rakat , is ke baad do rakat aur Maghrib ke baad do rakat apne ghar mein parhte aur Isha ke baad do rakatein parhte aur Juma ke baad do rakatein jab ghar wapas hote tab parha karte thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة