الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب سجود القرآن
Kitab: Sujood-e-Quran ke masail
باب من سجد لسجود القارئ:
Bab: Sunne wala usi waqt sajda kare jab parhne wala kare.
Show diacritics
Hadith Number: 1075
حدثنا مسدد، قال: حدثنا يحيى، حدثنا عبيد الله، قال: حدثني نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم يقرا علينا السورة فيها السجدة فيسجد ونسجد حتى ما يجد احدنا موضع جبهته".
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , kaha ke hum se Yahya bin Saeed Qattan ne byaan kiya , kaha ke hum se Ubaidullah Umari ne byaan kiya kaha ke hum se Nafey ne byaan kiya un se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam hamari maujoodgi mein aayat-e-sajdah parhte aur sajdah karte to hum bhi Aap salla Allahu alaihi wasallam ke saath (hujoom ki wajah se) is tarah sajdah karte ke peshani rakhne ki jagah bhi na milti jis par sajdah karte .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1076
حدثنا بشر بن آدم، قال: حدثنا علي بن مسهر، قال: اخبرنا عبيد الله، عن نافع، عن ابن عمر، قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم يقرا السجدة ونحن عنده فيسجد ونسجد معه، فنزدحم حتى ما يجد احدنا لجبهته موضعا يسجد عليه".
Hum se Bishr bin Adam ne byaan kiya , kaha ke hum se Ali bin Mus-hir ne byaan kiya , kaha ke hamen Ubaidullah Umari ne khabar di , unhen Nafey ne aur Nafey ko Ibn Umar razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam aayat-e-sajdah ki tilawat agar hamari maujoodgi mein karte to Aap salla Allahu alaihi wasallam ke saath hum bhi sajdah karte thay . Is waqt itna azdhaam ho jata ke sajdah ke liye peshani rakhne ki jagah na milti jis par sajdah karne wala sajdah kar sake .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1079
حدثنا صدقة بن الفضل، قال: اخبرنا يحيى بن سعيد، عن عبيد الله، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم يقرا السورة التي فيها السجدة، فيسجد ونسجد معه حتى ما يجد احدنا مكانا لموضع جبهته".
Hum se Sadaqah bin Fadl ne byaan kiya , un se Yahya bin Saeed Qattan ne byaan kiya , un se Ubaidullah ne , un se Nafey ne , aur un se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam kisi aisi surah ki tilawat karte jis mein sajdah hota phir Aap salla Allahu alaihi wasallam sajdah karte aur hum bhi Aap salla Allahu alaihi wasallam ke saath sajdah karte yahan tak ke hum mein kisi ko apni peshani rakhne ki jagah na milti . (Maloom hua ke aisi halat mein sajdah na kiya jaye to koi harj nahi hai) «wallahu aalam» .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة