الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الاستسقاء
Kitab: Istisqa yani pani mangne ka bayan
باب سؤال الناس الإمام الاستسقاء إذا قحطوا:
Bab: Qahat ke waqt log imam se pani ki dua karne ke liye keh sakte hain.
Hadith Number: 1008
حدثنا عمرو بن علي، قال: حدثنا ابو قتيبة، قال: حدثنا عبد الرحمن بن عبد الله بن دينار، عن ابيه، قال: سمعت ابن عمر يتمثل بشعر ابي طالب" وابيض يستسقى الغمام بوجهه ثمال اليتامى عصمة للارامل".
Hum se Amr bin Ali ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Abu Qutaybah ne byaan kiya , kaha ke hum se Abdur Rahman bin Abdullah bin Dinar ne , in se in ke waalid ne , kaha ke main ne Ibn Umar razi Allahu anhuma ko Abu Talib ka yeh shair parhte suna tha (tarjama) gora un ka rang in ke munh ke waasta se barish ki (Allah se) dua ki jati hai . Yateemon ki panah aur bewauon ke sahare .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1009
وقال عمر بن حمزة حدثنا سالم، عن ابيه، ربما ذكرت قول الشاعر" وانا انظر إلى وجه النبي صلى الله عليه وسلم يستسقي، فما ينزل حتى يجيش كل ميزاب وابيض يستسقى الغمام بوجهه ثمال اليتامى عصمة للارامل"، وهو قول ابي طالب.
Aur Umar bin Hamza ne byaan kiya ke hum se Salim ne apne waalid se byaan kiya woh kaha karte thay ke aksar mujhe shair (Abu Talib) ka shair yaad aa jata hai . Main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke munh ko dekh raha tha ke Aap Dua-e-Istisqa (minbar par) kar rahe thay aur abhi (dua se farigh ho kar) utre bhi nahi thay ke tamam naale labraiz ho gaye . «Wa abyazu yustasqal ghamamu bi-wajhihi thimalul yatama ismatul lil-aramili» (tarjama) gora rang un ka , woh haami yateemon , bewauon ke log un ke munh ke sadqe se pani maangte hain .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة