الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجمعة
Kitab: Juma ke bayan mein
باب قول الله تعالى: {فإذا قضيت الصلاة فانتشروا فى الأرض وابتغوا من فضل الله} :
Bab: Allah Azzawajal ka (Soorat-ul-Jumu’ah mein) ye farmana ke jab jumu’ah ki namaz khatm ho jaye to apne kaam-kaaj ke liye zameen mein phail jao aur Allah ke fazl (rozi, rizq ya ilm) ko dhoondo.
Hadith Number: 938
حدثنا سعيد بن ابي مريم، قال: حدثنا ابو غسان، قال: حدثني ابو حازم، عن سهل، قال:" كانت فينا امراة تجعل على اربعاء في مزرعة لها سلقا، فكانت إذا كان يوم جمعة تنزع اصول السلق فتجعله في قدر، ثم تجعل عليه قبضة من شعير تطحنها فتكون اصول السلق عرقه، وكنا ننصرف من صلاة الجمعة فنسلم عليها فتقرب ذلك الطعام إلينا فنلعقه، وكنا نتمنى يوم الجمعة لطعامها ذلك".
Hum se Saeed bin Abi Maryam ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Abu Ghassan Muhammad bin Matar Madni ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Abu Hazim Salamah bin Dinar ne Sahl bin Saad ke waaste se byaan kiya , unhon ne byaan kiya ke hamare yahan aik aurat thi jo nalon par apne aik khet mein chuqandar boti . Juma ka din aata to woh chuqandar ukhaar lateen aur ise aik haandi mein pakateen phir oopar se aik mutthi jao ka aata chhirak deteun . Is tarah yeh chuqandar gosht ki tarah ho jate . Juma se wapsi mein hum unhein salam karne ke liye hazir hote to yahi pakwan hamare aage kar deteun aur hum ise chaat jate . Hum log har Juma ko un ke is khane ke aarzoomand raha karte thay .
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| سهل بن سعد الساعدي، أبو العباس، أبو يحيى | صحابي | |
| سلمة بن دينار الأعرج، أبو حازم | ثقة | |
| محمد بن مطرف الليثي، أبو غسان | ثقة | |
| سعيد بن أبي مريم الجمحي، أبو محمد | ثقة ثبت |