الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأحكام
Kitab: Hukumat aur qaza ke bayan mein
باب من قضى ولاعن فى المسجد:
Jo masjid mein faisla kare ya la'aan karaye.
Hadith Number: Q7165
ولاعن عمر عند منبر النبي صلى الله عليه وسلم وقضى شريح، والشعبي، ويحيى بن يعمر في المسجد، وقضى مروان على زيد بن ثابت باليمين عند المنبر وكان الحسن، وزرارة بن اوفى يقضيان في الرحبة خارجا من المسجد
Aur Umar Radi Allahu Anhu ne Masjid-e-Nabwi ke mimbar ke paas liaan kara diya aur Shurayh Qazi aur Shabi aur Yahya bin Yamar ne masjid mein faisla kiya aur Marwan ne Zaid bin Sabit ko masjid mein mimbar-e-nabwi ke paas qasam khane ka hukm diya aur Imam Hasan Basri aur Zurara bin Aufa donon masjid ke bahar ek dalan mein baith kar qaza ka kaam kiya karte thay. Ibn Abi Shaiba ki riwayat mein hai ke ayn masjid mein baith kar wo faisle karte thay.
تخریج الحدیث:
Hadith Number: 7165
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، قال الزهري، عن سهل بن سعد، قال:" شهدت المتلاعنين وانا ابن خمس عشرة سنة وفرق بينهما".
`Hum se Ali bin Abdullah ne bayan kiya, un se Sufyan ne bayan kiya, un se Zuhri ne bayan kiya, un se Sahl bin Saad Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke mein ne do liaan karne walon ko dekha, mein is waqt pandrah saal ka tha aur in donon ke darmiyan judayi kara di gayi thi.
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| سهل بن سعد الساعدي، أبو العباس، أبو يحيى | صحابي | |
| محمد بن شهاب الزهري، أبو بكر | الفقيه الحافظ متفق على جلالته وإتقانه | |
| سفيان بن عيينة الهلالي، أبو محمد | ثقة حافظ حجة | |
| علي بن المديني، أبو الحسن | ثقة ثبت إمام أعلم أهل عصره بالحديث وعلله |