الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأشربة
Kitab: Mashrubat ke bayan mein
باب خدمة الصغار الكبار:
Bachon ka baddon boorhon ki khidmat karna zaroori hai.
Hadith Number: 5622
حدثنا مسدد، حدثنا معتمر، عن ابيه، قال: سمعت انسا رضي الله عنه، قال:" كنت قائما على الحي اسقيهم عمومتي وانا اصغرهم الفضيخ، فقيل: حرمت الخمر، فقال: اكفئها، فكفانا، قلت لانس: ما شرابهم؟، قال: رطب وبسر، فقال ابو بكر بن انس: وكانت خمرهم، فلم ينكر انس، وحدثني بعض اصحابي، انه سمع انسا يقول: كانت خمرهم يومئذ.
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Mutamir ne, in se un ke walid ne, ke main ne Anas razi Allahu anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke main khara hua apne qabila mein apne chachaon ko khajoor ki sharab pila raha tha. Main in mein se sab se chhota tha, itne mein kisi ne kaha ke sharab haram kar di gayi (Abu Talha razi Allahu anhu ne) kaha ke sharab phenk do. Chunanche hum ne phenk di. Sulayman ne kaha ke main ne Anas razi Allahu anhu se poochha is waqt log kis cheez ki sharab peete thay kaha ke paki aur kachi khajoor ki. Abu Bakr bin Anas ne kaha ke yahi in ki sharab hoti thi Anas razi Allahu anhu ne is ka inkar nahi kiya, Bakr bin Abdullah Muzni ya Qatadah ne kaha aur mujh se baaz logon ne bayan kiya ke unhon ne Anas razi Allahu anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke ”in ki in dinon yahi (fadheeh) in ki sharab thi.“
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| أنس بن مالك الأنصاري، أبو حمزة، أبو النضر | صحابي | |
| سليمان بن طرخان التيمي، أبو المعتمر | ثقة | |
| معتمر بن سليمان التيمي، أبو محمد | ثقة | |
| مسدد بن مسرهد الأسدي، أبو الحسن | ثقة حافظ |