الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأطعمة
Kitab: Khanon ke bayan mein
باب من أدخل الضيفان عشرة عشرة:
Das das mehmaanon ko ek ek baar bula kar khane par bithana.
Hadith Number: Q5450
والجلوس على الطعام عشرة عشرة.
.
تخریج الحدیث:
Hadith Number: 5450
حدثنا الصلت بن محمد، حدثنا حماد بن زيد، عن الجعد ابي عثمان، عن انس. ح وعن هشام، عن محمد، عن انس، وعن سنان ابي ربيعة، عن انس،" ان ام سليم امه عمدت إلى مد من شعير جشته وجعلت منه خطيفة وعصرت عكة عندها، ثم بعثتني إلى النبي صلى الله عليه وسلم فاتيته وهو في اصحابه فدعوته، قال: ومن معي، فجئت، فقلت: إنه يقول ومن معي، فخرج إليه ابو طلحة، قال: يا رسول الله، إنما هو شيء صنعته ام سليم فدخل فجيء به، وقال: ادخل علي عشرة، فدخلوا فاكلوا حتى شبعوا، ثم قال: ادخل علي عشرة، فدخلوا فاكلوا حتى شبعوا، ثم قال: ادخل علي عشرة، حتى عد اربعين، ثم اكل النبي صلى الله عليه وسلم، ثم قام فجعلت انظر هل نقص منها شيء".
Hum se Salt bin Muhammad ne bayan kiya , kaha hum se Hammad bin Zayd ne , in se Jadd Abu Usman ne in se Anas razi Allahu anhu ne aur (is ki riwayat Hammad ne) Hisham se bhi ki , in se Muhammad ne aur in se Anas razi Allahu anhu ne aur Sinan Abu Rabia se (bhi ki) aur in se Anas razi Allahu anhu ne ke in ki walda Umm Sulaym razi Allahu anha ne ek mudd jau liya aur in se pees kar is ka «khateefa» (aate ko doodh mein mila kar pakate hain) pakaya aur in ke paas jo ghee ka dabba tha is mein is par se ghee nichorra , phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein (bulane ke liye) bheja . Main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein gaya to Aap apne sahabah ke saath tashreef rakhte thay . Main ne Aap ko khana khane ke liye bulaya . Aap ne daryaft farmaya aur woh log bhi jo meere saath hain ? Chunanche main wapas aaya aur kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam to farmate hain ke jo meere saath maujood hain woh bhi chalein ge . Is par Abu Talha Aap salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huay aur arz kiya: ya Rasool Allah! Woh to ek cheez hai jo Umm Sulaym ne Aap ke liye pakayi hai . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam tashreef laye aur khana Aap ke paas laya gaya . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke das aadmiyon ko meere paas andar bula lo . Chunanche das sahabah dakhil huay aur khana pait bhar kar khaya phir farmaya das aadmiyon ko meere paas aur bula lo . Yeh das bhi andar aaye aur pait bhar kar khaya phir farmaya aur das aadmiyon ko bula lo . Is tarah unhon ne chalis aadmiyon ka shumar kiya . Is ke baad Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne khana khaya phir Aap khare huay to main dekhne laga ke khane mein se kuch bhi kam nahi hua .
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| أنس بن مالك الأنصاري، أبو حمزة، أبو النضر | صحابي | |
| سنان بن ربيعة الباهلي، أبو ربيعة | صدوق فيه لين | |
| أنس بن مالك الأنصاري، أبو حمزة، أبو النضر | صحابي | |
| محمد بن سيرين الأنصاري، أبو بكر | ثقة ثبت كبير القدر لا يرى الرواية بالمعنى | |
| هشام بن حسان الأزدي، أبو عبد الله | ثقة حافظ | |
| أنس بن مالك الأنصاري، أبو حمزة، أبو النضر | صحابي | |
| جعد بن دينار اليشكري، أبو عثمان | ثقة | |
| حماد بن زيد الأزدي، أبو إسماعيل | ثقة ثبت فقيه إمام كبير مشهور | |
| الصلت بن محمد الخاركي، أبو همام | صدوق حسن الحديث |