الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {والذي قال لوالديه أف لكما أتعدانني أن أخرج وقد خلت القرون من قبلي وهما يستغيثان الله ويلك آمن إن وعد الله حق فيقول ما هذا إلا أساطير الأولين} :
Bab: Ayat ki tafseer“Aur jis shakhs ne apne maa-baap se kaha ke afsos hai tum par, kya tum mujhe ye khabar dete ho ke mein qabr se phir dobara nikala jaunga, mujh se pehle bohot si ummatein guzar chuki hain aur woh dono walidayn Allah se faryad kar rahe hain (aur us aulad se keh rahe hain) are teri kam-bakhti to imaan la beshak Allah ka wa’da sachcha hai. To us par woh kehta kya hai ke ye bas aglon ke dhakosle hain”.
Hadith Number: Q4827
وقال مجاهد: تفيضون، تقولون: وقال بعضهم: اثرة، واثرة، واثارة بقية من علم، وقال ابن عباس: بدعا من الرسل لست باول الرسل، وقال غيره: ارايتم هذه الالف إنما هي توعد إن صح ما تدعون لا يستحق ان يعبد وليس قوله ارايتم برؤية العين إنما هو اتعلمون ابلغكم ان ما تدعون من دون الله خلقوا شيئا.
Mujahid ne kaha «tufeedhoona» ka maani jo tum zaban se nikalte ho , kehte ho . Baazon ne kaha «asaratun» aur «usaratun» (ba-dhumm hamza) aur «asaratun» (teenon qiratein hain) in ka maani baqi manda ilm hai . (Hadees par isi se «asar» ka lafz bola gaya hai ke woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ka baqi manda ilm hai) aur Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «bid-an minal rusuli» ka yeh maani hai ke main hi kuch pehla paighambar duniya mein nahi aaya . Auron ne kaha «ara'aytum» (al-Ahqaf: 4) mein hamza zajr o taubeekh ke liye hai . Yani agar tumhara dawa sahih ho to yeh cheezin jin ko tum Allah ke siwa poojte ho batao unhon ne kuch paida kiya hai ? «ahqaf» qaum e Aad ki zameen ka naam tha jahan Hood alaihissalam maboos huay . «ahqaf» , «hiqfun» ki jama hai . «mut-laqu» rait ke pahar ko kehte hain . Is qaum par baadal ke saath taiz hawa ka azab aaya tha jis se sab halak ho gaye .
تخریج الحدیث:
Hadith Number: 4827
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا ابو عوانة، عن ابي بشر، عن يوسف بن ماهك، قال: كان مروان على الحجاز استعمله معاوية، فخطب، فجعل يذكر يزيد بن معاوية لكي يبايع له بعد ابيه، فقال له عبد الرحمن بن ابي بكر شيئا، فقال: خذوه، فدخل بيت عائشة، فلم يقدروا، فقال مروان: إن هذا الذي انزل الله فيه والذي قال لوالديه اف لكما اتعدانني سورة الاحقاف آية 17، فقالت عائشة من وراء الحجاب:" ما انزل الله فينا شيئا من القرآن إلا ان الله انزل عذري".
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya , kaha hum se Abu Awanah ne byaan kiya , un se Abu Bishr ne , un se Yusuf bin Maahak ne byaan kiya ke Marwan ko Muawiyah razi Allahu anhu ne Hijaz ka ameer (governor) banaya tha . Us ne ek mauqa par khutba diya aur khutba mein Yazid bin Muawiyah ka baar baar zikr kiya , taake is ke walid (Muawiyah razi Allahu anhu) ke baad is se log bai'at karein . Is par Abdur Rahman bin Abi Bakr razi Allahu anhuma ne itrazan kuch farmaya . Marwan ne kaha usay pakar lo . Abdur Rahman apni behen Aisha razi Allahu anha ke ghar mein chale gaye to woh log pakar nahi sake . Is par Marwan bola ke isi shakhs ke baare mein Quran ki yeh aayat nazil hui thi «wallazhi qaala li-walidayhi uffin lakuma ataidanini» ke ”aur jis shakhs ne apne maan baap se kaha ke tuff hai tum par kya tum mujhe khabar dete ho .“ Is par Aisha razi Allahu anha ne kaha ke hamare (Aal e Abi Bakr ke) baare mein Allah Ta'ala ne koi aayat nazil nahi ki balkay tohmat se meri bara'at zaroor nazil ki thi .
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| عائشة بنت أبي بكر الصديق، أم عبد الله | صحابي | |
| يوسف بن ماهك الفارسي | ثقة | |
| جعفر بن أبي وحشية اليشكري، أبو بشر | ثقة | |
| الوضاح بن عبد الله اليشكري، أبو عوانة | ثقة ثبت | |
| موسى بن إسماعيل التبوذكي، أبو سلمة | ثقة ثبت |