الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب:
Bab: …
Hadith Number: Q4739
n
.
تخریج الحدیث:
Hadith Number: 4739
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن ابي إسحاق، قال: سمعت عبد الرحمن بن يزيد، عن عبد الله، قال:" بني إسرائيل، والكهف، ومريم، وطه، والانبياء، هن من العتاق الاول، وهن من تلادي". وقال قتادة: جذاذا: قطعهن، وقال الحسن: في فلك: مثل فلكة المغزل، يسبحون: يدورون، قال ابن عباس: نفشت: رعت ليلا، يصحبون: يمنعون، امتكم امة واحدة، قال: دينكم دين واحد، وقال عكرمة: حصب: حطب بالحبشية، وقال غيره: احسوا: توقعوا من احسست، خامدين: هامدين، والحصيد مستاصل يقع على الواحد والاثنين والجميع، لا يستحسرون: لا يعيون ومنه حسير وحسرت بعيري عميق بعيد، نكسوا: ردوا، صنعة لبوس: الدروع، تقطعوا امرهم: اختلفوا الحسيس، والحس، والجرس، والهمس واحد، وهو من الصوت الخفي، آذناك: اعلمناك، آذنتكم: إذا اعلمته فانت وهو على سواء لم تغدر، وقال مجاهد: لعلكم تسالون: تفهمون، ارتضى: رضي، التماثيل: الاصنام السجل الصحيفة.
Hum se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , kaha hum se Ghundar ne , kaha hum se Shubah ne , unhon ne Abu Ishaq se suna , kaha main ne Abdur Rahman bin Yazid se suna , unhon ne Abdullah bin Masood razi Allahu anhu se woh kehte thay ke Surah Bani Israeel aur Surah Kahf aur Surah Maryam aur Surah Taaha aur Surah Anbiya agli bahut faseeh suraton mein se hain (jo Makkah mein utri thien) aur meri purani yaad ki hui hain . Qatadah ne kaha «juizhaazhan» ka maani tukre tukre . Aur Hasan Basri ne kaha «kullun fee falakin» yani har ek tara ek ek aasman mein gol ghoomta hai , jaise soot kaatne ka charkha . «yasbahoon» yani gol ghoomte hain . Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «nafashat» ke maani char gayin . «yushaboon» ke maani roke jayein ge . Bachaye jayein ge . «ummatukum ummatan waahidatan» yani tumhara deen aur mazhab ek hi deen aur mazhab hai . Aur Ikrimah ne kaha «hasabun» Habshi zaban mein jalane ki lakriyon eendhan ko kehte hain . Aur logon ne kaha lafz «ahassoo» ke maani tawaqqo payi yeh «ahsas-tu» se nikla hai yani aahat payi . «khaamideena» ke maani bujhe huay (yani marey huay) . «hasidun» ke maani jarr se ukhaarra gaya , wahid aur tasniya aur jama sab par yahi lafz bola jata hai . «la yastah-siroon» ke maani nahi thake isi se hai lafz «haseerun» thaka hua . Aur «hasartu baeeri» ke maani main ne apne oont ko thaka diya . «ameequn» ke maani door daraz . «nukis-u» yeh kufr ki taraf phere gaye . «san'ata laboosin» zirhein banana . «taqatta'u amrahum» yani ikhtilaf kiya , juda juda tariqa ikhtiyar kiya . «la yasma'oona hasisaha» ke maani aur lafz «hissun» aur «jarsun» aur «hamsun» ke maani ek hi hain yani past aawaz . «aazhannaka» hum ne tujh ko aagah kiya Arab log kehte hain . «aazhantukum» yani main ne tum ko khabar di tum hum barabar ho gaye main ne koi dagha nahi ki jab Aap mukhatab ko kisi baat ki khabar de chuke to Aap aur woh donon barabar ho gaye aur Aap ne is se koi dagha nahi ki . Aur Mujahid ne kaha «la'allakum tus'aloona» ke maani yeh hain shayad tum samajho . «irtada» ke maani pasand kiya raazi hua . «at-tamaseelu» ke maani moortein but . «as-sijillu» maani ke khatton ka majmua daftar .
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| عبد الله بن مسعود، أبو عبد الرحمن | صحابي | |
| عبد الرحمن بن يزيد النخعي، أبو بكر | ثقة | |
| أبو إسحاق السبيعي، أبو إسحاق | ثقة مكثر | |
| شعبة بن الحجاج العتكي، أبو بسطام | ثقة حافظ متقن عابد | |
| محمد بن جعفر الهذلي، أبو عبد الله، أبو بكر | ثقة | |
| محمد بن بشار العبدي، أبو بكر | ثقة حافظ |