الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الصلاة
Kitab: Namaz ke ahkam o masail
باب الأبواب والغلق للكعبة والمساجد:
Bab: Ka’bah aur masajid mein darwaze aur zanjeer rakhna.
Hadith Number: Q468
قال ابو عبد الله: وقال لي عبد الله بن محمد: حدثنا سفيان، عن ابن جريج، قال: قال لي ابن ابي مليكة: يا عبد الملك،" لو رايت مساجد ابن عباس وابوابها"
Abu Abdullah Imam Bukhari rahimahullah ne kaha mujh se Abdullah bin Muhammad Musandi ne kaha ke hum se Sufyan bin Uyaynah ne Abdul Malik Ibn Juraij ke wastay se bayan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Ibn Abi Mulaika ne kaha ke aye Abdul Malik! agar tum Ibn Abbas raziyallahu anhuma ki masajid aur un ke darwazon ko dekhte .
تخریج الحدیث:
Hadith Number: 468
حدثنا ابو النعمان، وقتيبة بن سعيد، قالا: حدثنا حماد، عن ايوب، عن نافع، عن ابن عمر،" ان النبي صلى الله عليه وسلم قدم مكة، فدعا عثمان بن طلحة ففتح الباب، فدخل النبي صلى الله عليه وسلم، وبلال، واسامة بن زيد، وعثمان بن طلحة، ثم اغلق الباب فلبث فيه ساعة، ثم خرجوا، قال ابن عمر: فبدرت فسالت بلالا، فقال: صلى فيه، فقلت: في اي، قال: بين، قال ابن عمر: فذهب علي ان اساله كم صلى".
Hum se Abul Numan Muhammad bin Fazl aur Qutaiba bin Saeed ne bayan kiya ke hum se Hammad bin Zaid ne Ayyub Sakhtiyani ke wastay se , unhon ne Nafi se , unhon ne Abdullah bin Umar raziyallahu anhuma se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam jab Makka tashreef laye aur Makka fatah hua to aap ne Usman bin Talha raziyallahu anhu ko bulwaya . Jo Kaaba ke mutawalli , chabi bardar thay unhon ne darwaza khola to Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam , Bilal , Usama bin Zaid aur Usman bin Talha charon andar tashreef le gaye . Phir darwaza band kar diya gaya aur wahan thori der tak thehr kar bahar aaye . Ibn Umar raziyallahu anhuma ne farmaya ke mein ne jaldi se aage barh kar Bilal se poocha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne Kaaba ke andar kya kiya unhon ne bataya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne andar namaz parhi thi . Mein ne poocha kis jagah ? kaha ke dono sutonon ke darmiyan . Abdullah bin Umar raziyallahu anhuma ne farmaya ke yeh poochna mujhe yaad na raha ke aap ne kitni rakaten parhi thin .
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| عبد الله بن عمر العدوي، أبو عبد الرحمن | صحابي | |
| نافع مولى ابن عمر، أبو عبد الله | ثقة ثبت مشهور | |
| أيوب السختياني، أبو عثمان، أبو بكر | ثقة ثبتت حجة | |
| حماد بن زيد الأزدي، أبو إسماعيل | ثقة ثبت فقيه إمام كبير مشهور | |
| قتيبة بن سعيد الثقفي، أبو رجاء | ثقة ثبت | |
| محمد بن الفضل السدوسي، أبو النعمان | ثقة ثبت تغير في آخر عمره |