الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {إن المنافقين فى الدرك الأسفل} :
Bab: Ayat ki tafseer“Bila shak munafiqeen dozakh ke sab se niche darje mein honge”.
Hadith Number: Q4602
وقال ابن عباس: اسفل النار نفقا سربا.
Aur Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke «ad-darkul asfalu» se murad jahannum ka sab se nichla darja hai aur Surah al-Anaam mein «nafaqan» bamaani «saraban» yani surang murad hai .
تخریج الحدیث:
Hadith Number: 4602
حدثنا عمر بن حفص، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، قال: حدثني إبراهيم، عن الاسود، قال: كنا في حلقة عبد الله، فجاء حذيفة، حتى قام علينا فسلم، ثم قال:" لقد انزل النفاق على قوم خير منكم"، قال الاسود:" سبحان الله، إن الله يقول: إن المنافقين في الدرك الاسفل من النار سورة النساء آية 145، فتبسم عبد الله، وجلس حذيفة في ناحية المسجد، فقام عبد الله، فتفرق اصحابه فرماني بالحصا، فاتيته، فقال حذيفة:" عجبت من ضحكه، وقد عرف ما قلت، لقد انزل النفاق على قوم كانوا خيرا منكم، ثم تابوا فتاب الله عليهم".
Hum se Umar bin Hafs bin Ghiyas ne byaan kiya , kaha un se un ke baap ne byaan kiya , un se Aamash ne byaan kiya , kaha ke mujh se Ibrahim ne byaan kiya , un se Aswad ne byaan kiya ke hum Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ke halqa e dars mein baithe huay thay ke Huzayfah razi Allahu anhu tashreef laye aur hamare paas kharay ho kar salam kiya . Phir kaha nifaq mein woh jama'at mubtala ho gayi jo tum se behtar thi . Is par Aswad bolay , Subhan Allah , Allah Ta'ala to farmata hai «innal munafiqeena fiddarkil asfali minannari» ke ”munafiq dozakh ke sab se nichle darje mein hon ge .“ Abdullah bin Masood razi Allahu anhu muskurane lage aur Huzayfah razi Allahu anhu masjid ke kone mein ja kar baith gaye . Is ke baad Abdullah bin Masood razi Allahu anhu uth gaye aur Aap ke shagird bhi idhar udhar chale gaye . Phir Huzayfah razi Allahu anhu ne mujh par kankari phenki (yani mujh ko bulaya) main hazir ho gaya to kaha ke mujhe Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ki hansi par hairat hui haalan ke jo kuch main ne kaha tha usay woh khoob samajhte thay . Yaqeenan nifaq mein ek jama'at ko mubtala kiya gaya tha jo tum se behtar thi , is liye ke phir unhon ne tauba kar li aur Allah ne bhi un ki tauba qabool kar li .
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| حذيفة بن اليمان العبسي، أبو عبد الله | صحابي | |
| الأسود بن يزيد النخعي، أبو عبد الرحمن، أبو عمرو | مخضرم | |
| إبراهيم النخعي، أبو عمران | ثقة | |
| سليمان بن مهران الأعمش، أبو محمد | ثقة حافظ | |
| حفص بن غياث النخعي، أبو عمر | ثقة | |
| عمر بن حفص النخعي، أبو حفص | ثقة |