الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب قوله: {أيود أحدكم أن تكون له جنة} إلى قوله: {تتفكرون} :
Bab: Ayat ki tafseer“Kya tum mein se koi ye pasand karta hai ke us ka ek bagh ho”aakhir ayat «tatafakkaroon» tak.
Hadith Number: 4538
حدثنا إبراهيم , اخبرنا هشام , عن ابن جريج , سمعت عبد الله بن ابي مليكة يحدث، عن ابن عباس، قال: وسمعت اخاه ابا بكر بن ابي مليكة يحدث , عن عبيد بن عمير , قال: قال عمر رضي الله عنه: يوما لاصحاب النبي صلى الله عليه وسلم:" فيم ترون هذه الآية نزلت ايود احدكم ان تكون له جنة سورة البقرة آية 266؟" قالوا: الله اعلم، فغضب عمر , فقال: قولوا:" نعلم او لا نعلم" , فقال ابن عباس: في نفسي منها شيء يا امير المؤمنين , قال عمر:" يا ابن اخي قل ولا تحقر نفسك" , قال ابن عباس: ضربت مثلا لعمل، قال عمر:" اي عمل"، قال ابن عباس: لعمل , قال عمر: لرجل غني يعمل بطاعة الله عز وجل، ثم بعث الله له الشيطان، فعمل بالمعاصي حتى اغرق اعماله".
Hum se Ibrahim bin Musa ne byaan kiya , kaha hum ko Hisham ne khabar di , unhein Ibn Jurayj ne , unhon ne Abdullah bin Abi Mulaykah se suna , woh Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma se byaan karte thay , Ibn Jurayj ne kaha aur main ne Ibn Abi Mulaykah ke bhai Abu Bakr bin Abi Mulaykah se bhi suna , woh Ubayd bin Umayr se riwayat karte thay ke ek din Umar razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke as-haab se daryaft kiya ke Aap log jaante ho yeh aayat kis silsile mein nazil hui hai «ayawaddu ahadukum an takoona lahu jannatun» ”kya tum mein se koi yeh pasand karta hai ke is ka ek bagh ho .“ Sab ne kaha ke Allah zyada janne wala hai . Yeh sun kar Umar razi Allahu anhu bahut khafa ho gaye aur kaha , saaf jawab dein ke Aap logon ko is silsile mein kuch maloom hai ya nahi . Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne arz kiya: Ameer al-Momineen! Mere dil mein ek baat aati hai . Umar razi Allahu anhu ne farmaya: bete! Tumhein kaho aur apne ko haqeer na samajho . Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne arz kiya ke is mein amal ki misal byaan ki gayi hai . Umar razi Allahu anhu ne poocha , kaise amal ki ? Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne arz kiya ke amal ki . Umar razi Allahu anhu ne kaha ke yeh ek maldar shakhs ki misal hai jo Allah ki itaat mein naik amal karta rehta hai . Phir Allah Shaytan ko is par ghalib kar deta hai , woh gunahon mein masroof ho jata hai aur is ke agle naik aamal sab gharat ho jate hain .
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators: