الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {ثم أفيضوا من حيث أفاض الناس} :
Bab: Ayat ki tafseer“Phir tum bhi wahan ja kar laut aao jahan se log laut aate hain”.
Hadith Number: 4521
حدثني محمد بن ابي بكر , حدثنا فضيل بن سليمان , حدثنا موسى بن عقبة , اخبرني كريب , عن ابن عباس , قال:" يطوف الرجل بالبيت ما كان حلالا حتى يهل بالحج، فإذا ركب إلى عرفة , فمن تيسر له هدية من الإبل او البقر او الغنم ما تيسر له من ذلك , اي ذلك شاء غير انه إن لم يتيسر له فعليه ثلاثة ايام في الحج , وذلك قبل يوم عرفة , فإن كان آخر يوم من الايام الثلاثة يوم عرفة فلا جناح عليه , ثم لينطلق حتى يقف بعرفات من صلاة العصر إلى ان يكون الظلام، ثم ليدفعوا من عرفات إذا افاضوا منها حتى يبلغوا جمعا الذي يبيتون به , ثم ليذكروا الله كثيرا واكثروا التكبير والتهليل قبل ان تصبحوا , ثم افيضوا , فإن الناس كانوا يفيضون , وقال الله تعالى: ثم افيضوا من حيث افاض الناس واستغفروا الله إن الله غفور رحيم سورة البقرة آية 199 حتى ترموا الجمرة".
Mujh se Muhammad bin Abi Bakr ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Fudayl bin Sulayman ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Musa bin Uqbah ne byaan kiya , unhon ne mujh ko Kurayb ne khabar di aur unhon ne Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma se byaan kiya ke (jo koi tamattu kare umrah kar ke ihram khol daale woh) jab tak hajj ka ihram na bandhe Bayt Allah ka nafal tawaf karta rahe . Jab hajj ka ihram bandhe aur Arafat jaane ko sawar ho to hajj ke baad jo qurbani ho sake woh kare , oont ho ya gaye ya bakri . In teenon mein se jo ho sake agar qurbani muyassar na ho to teen roze hajj ke dinon mein rakhe Arafa ke din se pehle agar aakhri roza Arafa ke din aa jaye tab bhi koi qabahat nahi . Shehar e Makkah se chal kar Arafat ko jaye wahan Asr ki namaz se raat ki tareeki hone tak thehre , phir Arafat se is waqt laute jab doosre log lautein aur sab logon ke saath raat Muzdalifa mein guzare aur Allah ki yaad , takbeer aur tehleel bahut karta rahe subah hone tak . Subah ko logon ke saath Muzdalifa se Mina ko laute jaise Allah ne farmaya «summa afeedoo min haysu afadan naasu wastaghfirullaha innallaha ghafoorur raheem» yani kankariyan maarne tak isi tarah Allah ki yaad aur takbeer o tehleel karte raho .
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| عبد الله بن العباس القرشي، أبو العباس | صحابي | |
| كريب بن أبي مسلم القرشي، أبو رشدين | ثقة | |
| موسى بن عقبة القرشي، أبو محمد | ثقة فقيه إمام في المغازي | |
| الفضيل بن سليمان النميري، أبو سليمان | صدوق له خطأ كثير | |
| محمد بن أبي بكر المقدمي، أبو عبد الله | ثقة |