الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
کتاب الجزیہ والموادعہ
Kitab: Jizya waghaira ke bayan mein
باب الجزية والموادعة مع أهل الحرب:
Bab: Jizya ka aur kafiron se ek muddat tak larai na karne ka bayan.
Hadith Number: Q3156
وقول الله تعالى: {قاتلوا الذين لا يؤمنون بالله ولا باليوم الآخر ولا يحرمون ما حرم الله ورسوله ولا يدينون دين الحق من الذين اوتوا الكتاب حتى يعطوا الجزية عن يد وهم صاغرون} يعني اذلاء والمسكنة مصدر المسكين فلان اسكن من فلان احوج منه، ولم يذهب إلى السكون وما جاء في اخذ الجزية من اليهود والنصارى والمجوس والعجم، وقال: ابن عيينة، عن ابن ابي نجيح، قلت لمجاهد: ما شان اهل الشام عليهم اربعة دنانير واهل اليمن عليهم دينار، قال: جعل ذلك من قبل اليسار.
Aur Allah Ta'ala ka irshad "qatilu-llazina la yuminuna billahi wala bil yawmil akhiri wala yuharrimuna ma harramallahu wa-rasuluhu wala yadinuna din-al-haqqi min-allazina otu-l-kitaba hatta yutu-l-jizyata ay-yadin wa-hum saghiruna" "In logon se jung karo jo Allah par iman nahi laye aur na Aakhirat ke din par aur na in cheezon ko wo haram mante hain jinhein Allah aur us ke Rasul ne haram qarar diya hai aur na deen-e-haqq ko unhon ne qabool kiya (balki ulte wo log tum hi ko mitane aur Islam ko khatam karne ke liye jung par aamada ho gaye). In logon se jinhein kitab di gayi thi (maslan Yahud-o-Nasara) yahan tak (mudafiat karo) ke wo tumhare ghalba ki wajah se jizya dena qabool kar lein aur wo tumhare muqabala par dabb gaye hon." ("saghiruna" ke maane) "azilla" ke hain. Aur in ahadees ka zikr jin mein Yahud, Nasara, Majoos aur Ahl-e-Ajam se jizya lene ka bayan hua hai. Ibn Uyaina ne kaha, un se Ibn Abi Najeeh ne kaha ke mein ne Mujahid se pucha, is ki kya wajah hai ke Shaam ke Ahl-e-Kitab par char dinar (jizya) hai aur Yemen ke Ahl-e-Kitab par sirf ek dinar! To unhon ne kaha ke Shaam ke kafir zyada maldar hain
.
.
تخریج الحدیث:
Hadith Number: 3156
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، قال: سمعت عمرا، قال: كنت جالسا مع جابر بن زيد وعمرو بن اوس، فحدثهما بجالة سنة سبعين عام حج مصعب بن الزبير باهل البصرة عند درج زمزم، قال:" كنت كاتبا لجزء بن معاوية عم الاحنف فاتانا كتاب عمر بن الخطاب قبل موته بسنة فرقوا بين كل ذي محرم من المجوس ولم يكن عمر اخذ الجزية من المجوس.
Hum se Ali Bin Abdullah Madini ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Sufyan Bin Uyaina ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mein ne Amr Bin Dinar se suna, unhon ne bayan kiya ke mein Jabir Bin Zaid aur Amr Bin Aus ke sath baitha hua tha to in dono buzurgon se Bajala ne bayan kiya ke 70 Hijri mein jis saal Mus'ab Bin Zubair (Radi Allahu Anhu) ne Basra walon ke sath Hajj kiya tha. Zamzam ki seedhiyan ke paas unhon ne bayan kiya tha ke mein Ahnaf Bin Qais (Radi Allahu Anhu) ke chacha Juz' Bin Muawiyah ka katib tha. To wafat se ek saal pehle Umar Bin Khattab (Radi Allahu Anhu) ka ek maktub hamare paas aaya ke jis parsi ne apni muhram aurat ko biwi banaya ho to un ko juda kar do aur Umar (Radi Allahu Anhu) ne parsiyon se jizya nahi liya tha
.
.
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| عمر بن الخطاب العدوي، أبو حفص | صحابي | |
| بجالة بن عبدة التميمي | ثقة | |
| عمرو بن دينار الجمحي، أبو محمد | ثقة ثبت | |
| سفيان بن عيينة الهلالي، أبو محمد | ثقة حافظ حجة | |
| علي بن المديني، أبو الحسن | ثقة ثبت إمام أعلم أهل عصره بالحديث وعلله |