الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ تَسْمِيَةِ الْمَوْلُودِ غَدَاةَ يُولَدُ، لِمَنْ لَمْ يَعُقَّ عَنْهُ، وَتَحْنِيكِهِ:
Agar bache ke aqiqa ka iraada na ho to paidaish ke din hi us ka naam rakhna aur us ki tahneek karna jaiz hai.
Show diacritics
Hadith Number: 5467
حدثني إسحاق بن نصر حدثنا ابو اسامة قال: حدثني بريد عن ابي بردة عن ابي موسى رضي الله عنه قال ولد لي غلام، فاتيت به النبي صلى الله عليه وسلم فسماه إبراهيم، فحنكه بتمرة، ودعا له بالبركة ودفعه إلي، وكان اكبر ولد ابي موسى.
Mujh se Ishaq bin Nadr ne bayan kiya , kaha hum se Abu Usamah ne bayan kiya , kaha ke mujh se Yazid ne bayan kiya , in se Abu Burdah ne aur in se Abu Musa razi Allahu anhu ne bayan kiya ke meere yahan ek larka paida hua to main usay le kar Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hua . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is ka naam Ibrahim rakkha aur khajoor ko apne dandan e mubarak se narm kar ke usay chataya aur is ke liye barkat ki dua ki phir mujhe de diya . Yeh Abu Musa razi Allahu anhu ke sab se bare larke thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5468
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" اتي النبي صلى الله عليه وسلم بصبي يحنكه فبال عليه فاتبعه الماء".
Hum se Musaddad ne bayan kiya , kaha hum se Yahya ne bayan kiya , in se Hisham ne , in se un ke walid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein ek nau-moulud bacha laya gaya taake Aap is ki tahneek kar dein is bacha ne Aap ke oopar peshab kar diya , Aap ne is par pani baha diya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5469
حدثنا إسحاق بن نصر، حدثنا ابو اسامة، حدثنا هشام بن عروة، عن ابيه، عن اسماء بنت ابي بكر رضي الله عنهما،" انها حملت بعبد الله بن الزبير بمكة، قالت: فخرجت وانا متم فاتيت المدينة فنزلت قباء فولدت بقباء، ثم اتيت به رسول الله صلى الله عليه وسلم فوضعته في حجره، ثم دعا بتمرة فمضغها، ثم تفل في فيه فكان اول شيء دخل جوفه ريق رسول الله صلى الله عليه وسلم، ثم حنكه بالتمرة ثم دعا له فبرك عليه وكان اول مولود ولد في الإسلام، ففرحوا به فرحا شديدا لانهم قيل لهم: إن اليهود قد سحرتكم فلا يولد لكم".
Hum se Ishaq bin Nadr ne bayan kiya, kaha hum se Abu Usamah ne bayan kiya, kaha hum se Hisham bin Urwah ne bayan kiya, in se un ke walid ne aur un se Asmaa bint Abi Bakr razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Abdullah bin Zubayr razi Allahu anhuma Makkah mein un ke pait mein thay. Unhon ne kaha ke phir main (jab Hijrat ke liye) nikli to waqt e wiladat qareeb tha. Madinah Munawwarah pahunch kar main ne pehli manzil Quba mein ki aur yahien Abdullah bin Zubayr razi Allahu anhuma paida ho gaye, main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein bacha ko le kar hazir hui aur usay Aap ki goad mein rakh diya. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne khajoor talab farmayi aur usay chabaya aur bacha ke munh mein apna thook daal diya. Chunanche pehli cheez jo is bacha ke pait mein gayi woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ka thook mubarak tha phir Aap ne khajoor se tahneek ki aur is ke liye barkat ki dua farmayi. Yeh sab se pehla bacha Islam mein (Hijrat ke baad Madinah Munawwarah mein) paida hua. Sahabah ikraam razi Allahu anhum is se bahut khush huay kyunke yeh afwah phailayi ja rahi thi ke Yahudiyon ne tum (Musalmanon) par jadoo kar diya hai. Is liye tumhare yahan ab koi bacha paida nahi ho ga.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5470
حدثنا مطر بن الفضل، حدثنا يزيد بن هارون، اخبرنا عبد الله بن عون، عن انس بن سيرين، عن انس بن مالك رضي الله عنه، قال:" كان ابن لابي طلحة يشتكي، فخرج ابو طلحة فقبض الصبي، فلما رجع ابو طلحة، قال: ما فعل ابني؟ قالت ام سليم: هو اسكن ما كان، فقربت إليه العشاء، فتعشى ثم اصاب منها، فلما فرغ، قالت: واروا الصبي، فلما اصبح ابو طلحة اتى رسول الله صلى الله عليه وسلم فاخبره، فقال: اعرستم الليلة؟ قال: نعم، قال: اللهم بارك لهما، فولدت غلاما، قال لي ابو طلحة: احفظه حتى تاتي به النبي صلى الله عليه وسلم، فاتى به النبي صلى الله عليه وسلم وارسلت معه بتمرات، فاخذه النبي صلى الله عليه وسلم، فقال: امعه شيء؟ قالوا: نعم، تمرات، فاخذها النبي صلى الله عليه وسلم فمضغها ثم اخذ من فيه فجعلها في في الصبي وحنكه به وسماه عبد الله".
Hum se Matar bin Fadl ne bayan kiya, kaha hum se Yazid bin Haroon ne, unhein Abdullah bin Aun ne khabar di, unhein Anas bin Sireen ne aur in se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Abu Talha razi Allahu anhu ka ek larka beemar tha. Abu Talha kahin bahar gaye huay thay ke bacha ka intiqal ho gaya. Jab woh (thake manday) wapas aaye to poochha ke bacha kaisa hai? In ki biwi Umm Sulaym razi Allahu anha ne kaha ke woh pehle se zyada sukoon ke saath hai phir biwi ne in ke samne khana rakkha aur Abu Talha razi Allahu anhu ne khana khaya. Is ke baad unhon ne in ke saath hum-bistari ki phir jab farigh huay to unhon ne kaha ke bacha ko dafan kar do. Subah hui to Abu Talha razi Allahu anhu Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huay aur Aap ko waqia ki ittila di. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya ke tum ne raat hum-bistari bhi ki thi? Unhon ne arz kiya ke ji haan. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne dua ki ”Ae Allah! In donon ko barkat ata farma.“ Phir in ke yahan ek bacha paida hua to mujh se Abu Talha razi Allahu anhu ne kaha ke usay hifazat ke saath Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein le jao. Chunanche bacha Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein laaye aur Umm Sulaym razi Allahu anha ne bacha ke saath kuch khajoorein bheijiein, Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne bacha ko liya aur daryaft farmaya ke is ke saath koi cheez bhi hai? Logon ne kaha ke ji haan khajoorein hain. Aap ne usay le kar chabaya aur phir usay apne munh mein nikaal kar bacha ke munh mein rakh diya aur is se bacha ki tahneek ki aur is ka naam Abdullah rakkha.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5470M
حدثنا محمد بن المثنى، حدثنا ابن ابي عدي، عن ابن عون، عن محمد، عن انس، وساق الحديث.
Hum se Muhammad bin Musanna ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Adi ne bayan kiya, unhon ne Ibn Aun se, unhon ne Muhammad bin Sireen se, woh Anas razi Allahu anhu se riwayat karte hain ke unhon ne is hadees ko (misl e sabiq) poore taur par bayan kiya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِمَاطَةِ الأَذَى عَنِ الصَّبِيِّ فِي الْعَقِيقَةِ:
Aqiqa ke din bache ke baal moondna (ya khatna karna).
Show diacritics
Hadith Number: 5471
حدثنا ابو النعمان، حدثنا حماد بن زيد، عن ايوب، عن محمد، عن سلمان بن عامر، قال: مع الغلام عقيقة، وقال حجاج، حدثنا حماد، اخبرنا ايوب، وقتادة، وهشام، وحبيب، عن ابن سيرين، عن سلمان، عن النبي صلى الله عليه وسلم. وقال غير واحد: عن عاصم، وهشام، عن حفصة بنت سيرين، عن الرباب، عن سلمان بن عامر الضبي، عن النبي صلى الله عليه وسلم، ورواه يزيد بن إبراهيم، عن ابن سيرين، عن سلمان قوله.
Hum se Abu al-Nuayman ne bayan kiya, kaha hum se Hammad bin Zayd ne bayan kiya, in se Ayub Sakhtiyani ne, in se Muhammad bin Sireen ne, in se Salman bin Aamir razi Allahu anhu (sahabi) ne bayan kiya ke bacha ka aqiqa karna chahiye. Aur Hajjaj bin Minhal ne kaha. In se Hammad bin Salama ne bayan kiya, kaha hum ko Ayub Sakhtiyani, Qatadah, Hisham bin Hassan aur Habib bin Shaheed in charon ne khabar di, unhein Muhammad bin Sireen ne aur unhein Salman bin Aamir razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se. Aur kai logon ne bayan kiya, in se Aasim bin Sulayman aur Hisham bin Hassan ne, in se Hafsa bint Sireen ne, in se Rabab bint Sali', in se Salman bin Aamir razi Allahu anhu ne aur unhon ne marfoo-an Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se riwayat kiya hai aur is ki riwayat Yazid bin Ibrahim Tustari ne ki, in se Muhammad bin Sireen ne aur in se Salman bin Aamir razi Allahu anhu ne اپنا qaul mauqoofan (ghair marfoo) zikr kiya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5472
وقال اصبغ: اخبرني ابن وهب، عن جرير بن حازم، عن ايوب السختياني، عن محمد بن سيرين، حدثنا سلمان بن عامر الضبي، قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" مع الغلام عقيقة فاهريقوا عنه دما واميطوا عنه الاذى".
Aur Asbagh bin Faraj ne bayan kiya ke mujhe Abdullah bin Wahb ne khabar di, unhein Jareer bin Hazim ne, unhein Ayub Sakhtiyani ne, unhein Muhammad bin Sireen ne ke hum se Salman bin Aamir al-Dabbi razi Allahu anhu ne bayan kiya, kaha ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna, Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke larke ke saath is ka aqiqa laga hua hai is liye is ki taraf se janwar zibah karo aur is se baal door karo (sar munda do ya khatna karo).


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5472M
حدثني عبد الله بن ابي الاسود، حدثنا قريش بن انس، عن حبيب بن الشهيد، قال:" امرني ابن سيرين ان اسال الحسن ممن سمع حديث العقيقة، فسالته، فقال: من سمرة بن جندب".
Mujh se Abdullah bin Abi al-Aswad ne bayan kiya, kaha hum se Quraysh bin Anas ne bayan kiya, kaha ke in se Habib bin Shaheed ne bayan kiya ke mujhe Muhammad bin Sireen ne hukm diya ke main Imam Hasan Basri se poochon ke unhon ne aqiqa ki hadees kis se suni hai. Main ne in se poochha to unhon ne kaha ke Samurah bin Jundub razi Allahu anhu se suni hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْفَرَعِ:
Fara ke bayaan mein.
Show diacritics
Hadith Number: 5473
حدثنا عبدان، حدثنا عبد الله، اخبرنا معمر، اخبرنا الزهري، عن ابن المسيب، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا فرع ولا عتيرة"، والفرع اول النتاج، كانوا يذبحونه لطواغيتهم والعتيرة في رجب.
Hum se Abdan ne bayan kiya, kaha hum se Abdullah bin Mubarak ne bayan kiya, kaha hum ko Mamar ne khabar di, unhein Zuhri ne khabar di, unhein Ibn al-Musayyab ne aur unhein Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya (Islam mein) «fara-un» aur «ateeratun» nahi hain. «fara-un» (oontni ke) sab se pehle bacha ko kehte thay jise (jahiliyat mein) log apne buton ke liye zibah karte thay aur «ateeratun» ko Rajab mein zibah kiya jata tha.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْعَتِيرَةِ:
Ateera ke bayaan mein.
Show diacritics
Hadith Number: 5474
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، قال: الزهري حدثنا، عن سعيد بن المسيب، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا فرع ولا عتيرة"، قال: والفرع اول نتاج كان ينتج لهم، كانوا يذبحونه لطواغيتهم، والعتيرة في رجب.
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne bayan kiya, in se Zuhri ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Saeed bin al-Musayyab ne bayan kiya aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke «fara-un» aur «ateeratun» (Islam mein) nahi hain. Bayan kiya ke «fara-un» sab se pehle bacha ko kehte thay jo in ke yahan (oontni se) paida hota tha, usay woh apne buton ke naam par zibah karte thay aur «ateeratun» woh qurbani jise woh Rajab mein karte thay (aur is ki khaal darakht par daal dete).


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة