الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ فَضْلِ الصَّلاَةِ فِي مَسْجِدِ مَكَّةَ وَالْمَدِينَةِ:
Bab: Makkah aur Madinah ki masajid mein namaz ki fazilat ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 1188
حدثنا حفص بن عمر، حدثنا شعبة , قال: اخبرني عبد الملك بن عمير، عن قزعة , قال: سمعت ابا سعيد رضي الله عنه اربعا , قال: سمعت من النبي صلى الله عليه وسلم، وكان غزا مع النبي صلى الله عليه وسلم ثنتي عشرة غزوة.
Hum se Hafs bin Umar ne byaan kiya , kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mujhe Abdul Malik ne Qazah se khabar di , unhon ne kaha ke mein ne Abu Saeed razi Allahu anhu se chaar baatein sunein aur unhon ne batlaya ke mein ne unhein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna tha , Aap ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath barah jihad kiye thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1189
ح حدثنا علي، حدثنا سفيان، عن الزهري، عن سعيد، عن ابي هريرة رضي الله عنه , عن النبي صلى الله عليه وسلم , قال:" لا تشد الرحال إلا إلى ثلاثة مساجد، المسجد الحرام، ومسجد الرسول صلى الله عليه وسلم، ومسجد الاقصى".
(Doosri sanad) Hum se Ali bin Madini ne byaan kiya , kaha ke hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya , un se Zuhri ne , un se Saeed bin Musayyib ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke teen masjidon ke siwa kisi ke liye kajaaway na baandhay jayein . (yani safar na kiya jaye) ek Masjid al-Haram , doosri Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki masjid (Masjid Nabwi) aur teesri Masjid al-Aqsa yani Bayt al-Maqdis .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1190
حدثنا عبد الله بن يوسف وقال: اخبرنا مالك، عن زيد بن رباح، وعبيد الله بن ابي عبد الله الاغر , عن ابي عبد الله الاغر، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان النبي صلى الله عليه وسلم قال:" صلاة في مسجدي هذا خير من الف صلاة فيما سواه، إلا المسجد الحرام".
Hum se Abdullah bin Yusuf Tanisi ne byaan kiya , unhon ne kaha ke humein Imam Malik ne Zayd bin Rabah aur Ubaydullah bin Abi Abdullah al-Agharr se khabar di , unhein Abu Abdullah al-Agharr ne aur unhein Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke meri is masjid mein namaaz Masjid al-Haram ke siwa tamam masjidon mein namaaz se ek hazaar darja zyada afzal hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَسْجِدِ قُبَاءٍ:
Bab: Masjid Quba ki fazilat.
Show diacritics
Hadith Number: 1191
حدثنا يعقوب بن إبراهيم هو الدورقي، حدثنا ابن علية، اخبرنا ايوب، عن نافع، ان ابن عمر رضي الله عنهما" كان لا يصلي من الضحى إلا في يومين يوم يقدم بمكة، فإنه كان يقدمها ضحى فيطوف بالبيت ثم يصلي ركعتين خلف المقام، ويوم ياتي مسجد قباء فإنه كان ياتيه كل سبت، فإذا دخل المسجد كره ان يخرج منه حتى يصلي فيه، قال: وكان يحدث ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كان يزوره راكبا وماشيا.
Hum se Yaqub bin Ibrahim ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Ismail bin Ulayyah ne byaan kiya , unhon ne kaha humein Ayub Sakhtiyani ne khabar di aur unhein Nafi ne ke Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma chasht ki namaaz sirf do din parhte thay . Jab Makkah aate kyonke Aap Makkah mein chasht hi ke waqt aate thay is waqt pehle Aap tawaf karte aur phir Maqam-e-Ibrahim ke peeche do rakat parhte . Doosre jis din Aap Masjid Quba mein tashreef laate Aap ka yahan har hafta ko aane ka mamool tha . Jab Aap masjid ke andar aate to namaaz parhe baghair bahar nikalna bura jaante . Aap byaan karte thay ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam yahan sawaar aur paidal donon tarah aaya karte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1192
قال: وكان يقول: إنما اصنع كما رايت اصحابي يصنعون، ولا امنع احدا ان يصلي في اي ساعة شاء من ليل او نهار، غير ان لا تتحروا طلوع الشمس ولا غروبها".
Nafi ne byaan kiya ke Ibn Umar razi Allahu anhuma farmaya karte thay ke mein isi tarah karta hoon jaise mein ne apne sathiyon (sahaba razi Allahu anhum) ko karte dekha hai . Lekin tumhein raat ya din ke kisi hisse mein namaaz parhne se nahin rokta . Sirf itni baat hai ke qasad kar ke tum sooraj nikalte ya doobte waqt na parho .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ أَتَى مَسْجِدَ قُبَاءٍ كُلَّ سَبْتٍ:
Bab: Jo shakhs Masjid Quba mein har hafte haazir hua.
Show diacritics
Hadith Number: 1193
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا عبد العزيز بن مسلم، عن عبد الله بن دينار، عن ابن عمر رضي الله عنهما , قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم ياتي مسجد قباء كل سبت ماشيا وراكبا"، وكان عبد الله رضي الله عنه يفعله.
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Abdul Aziz bin Muslim ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Abdullah bin Dinar ne byaan kiya aur un se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne , unhon ne kaha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam har hafta ko Masjid Quba aate paidal bhi (baaz dafa) aur sawari par bhi aur Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma bhi aisa hi karte .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِتْيَانِ مَسْجِدِ قُبَاءٍ مَاشِيًا وَرَاكِبًا:
Bab: Masjid Quba aana kabhi sawari par aur kabhi paidal.
Show diacritics
Hadith Number: 1194
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن عبيد الله , قال: حدثني نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما , قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم ياتي مسجد قباء راكبا وماشيا"، زاد ابن نمير، حدثنا عبيد الله، عن نافع فيصلي فيه ركعتين.
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , kaha ke hum se Yahya bin Saeed Qattan ne byaan kiya , aur un se Ubaydullah Umari ne byaan kiya ke mujh se Nafi ne Ibn Umar razi Allahu anhuma se byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam Quba aate kabhi paidal aur kabhi sawari par . Ibn Numayr ne is mein yeh ziyaadati ki hai ke hum se Ubaydullah bin Umair ne byaan kiya aur un se Nafi ne ke phir Aap salla Allahu alaihi wasallam is mein do rakat namaaz parhte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ فَضْلِ مَا بَيْنَ الْقَبْرِ وَالْمِنْبَرِ:
Bab: Nabi Kareem ﷺ ki qabr-e-shareef aur mimbar mubarak ke darmiyani hisse ki fazilat ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 1195
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن عبد الله بن ابي بكر، عن عباد بن تميم، عن عبد الله بن زيد المازني رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" ما بين بيتي ومنبري روضة من رياض الجنة".
Hum se Abdullah bin Yusuf Tanisi ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum ko Imam Malik rahimahullah ne khabar di , unhein Abdullah bin Abi Bakr ne , unhein Abbad bin Tamim ne aur unhein (un ke chacha) Abdullah bin Zayd Mazini razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke mere ghar aur mere is mimbar ke darmiyan ka hissa Jannat ki kiyariyon mein se ek kiyari hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1196
حدثنا مسدد، عن يحيى، عن عبيد الله , قال: حدثني خبيب بن عبد الرحمن، عن حفص بن عاصم، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم , قال:" ما بين بيتي ومنبري روضة من رياض الجنة ومنبري على حوضي".
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , un se Yahya ne , un se Ubaydullah Umari ne byaan kiya ke mujh se Khubayb bin Abdur Rahman ne byaan kiya , un se Hafs bin Asim ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke mere ghar aur mere mimbar ke darmiyan ki zameen Jannat ke baaghon mein se ek baagh hai aur mera mimbar Qayamat ke din mere Hauz par ho ga .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَسْجِدِ بَيْتِ الْمَقْدِسِ:
Bab: Bait-ul-Muqaddas ki masjid ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 1197
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، عن عبد الملك، سمعت قزعة مولى زياد , قال: سمعت ابا سعيد الخدري رضي الله عنه يحدث باربع عن النبي صلى الله عليه وسلم فاعجبنني , وآنقنني , قال:" لا تسافر المراة يومين إلا معها زوجها او ذو محرم، ولا صوم في يومين الفطر والاضحى، ولا صلاة بعد صلاتين بعد الصبح حتى تطلع الشمس وبعد العصر حتى تغرب، ولا تشد الرحال إلا إلى ثلاثة مساجد مسجد الحرام ومسجد الاقصى ومسجدي".
Hum se Abul Waleed ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , un se Abdul Malik bin Umair ne byaan kiya , unhon ne Ziyad ke ghulam Qazah se suna , unhon ne byaan kiya ke mein ne Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ko Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke hawala se chaar hadeesein byaan karte huay suna jo mujhe bohat pasand aayin . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke aurat apne shauhar ya kisi zi-reham mahram ke baghair do din ka bhi safar na kare aur doosri yeh ke Eid-ul-Fitr aur Eid-ul-Adha donon din roze na rakhe jayein . Teesri baat yeh ke subah ki namaaz ke baad sooraj ke nikalne tak aur Asar ke baad sooraj chhupne tak koi nafl namaaz na parhi jaye . Chauthi yeh ke teen masjidon ke siwa kisi ke liye kajaaway na baandhay jayein . Masjid al-Haram , Masjid al-Aqsa aur meri masjid (yani Masjid Nabwi) .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة