الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْجَنَائِزِ
The Book of Al-Janaiz (Funerals)
بَابُ كَيْفَ الإِشْعَارُ لِلْمَيِّتِ:
Chapter. How to shroud a dead body.
Hadith Number: Q1261
وقال الحسن: الخرقة الخامسة تشد بها الفخذين والوركين تحت الدرع.
Aur Hasan Basri rahimahullah ne farmaya ke aurat ke liye ek paanchwan kapra chahiye jis se qamees ke talle raanein aur sureen baandhi jaye .
Hadith Number: 1261
حدثنا احمد، حدثنا عبد الله بن وهب، اخبرنا ابن جريج، ان ايوب اخبره , قال: سمعت ابن سيرين , يقول: جاءت ام عطية رضي الله عنها امراة من الانصار من اللاتي بايعن قدمت البصرة تبادر ابنا لها فلم تدركه، فحدثتنا , قالت:" دخل علينا النبي صلى الله عليه وسلم , ونحن نغسل ابنته , فقال: اغسلنها ثلاثا , او خمسا , او اكثر من ذلك إن رايتن ذلك بماء , وسدر , واجعلن في الآخرة كافورا، فإذا فرغتن فآذنني , قالت: فلما فرغنا القى إلينا حقوه , فقال: اشعرنها إياه"، ولم يزد على ذلك ولا ادري اي بناته، وزعم ان الإشعار الففنها فيه، وكذلك كان ابن سيرين يامر بالمراة ان تشعر ولا تؤزر.
Hum se Ahmad ne byaan kiya , kaha ke mujh se Abdullah bin Wahb ne byaan kiya , unhein Ibn Jurayj ne khabar di , unhein Ayub ne khabar di , kaha ke main ne Ibn Sirin se suna , unhon ne kaha ke Umm Atiya razi Allahu anha ke yahan Ansar ki in khawateen mein se jinhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se baiyat ki thi , ek aurat aayi , Basra mein unhein apne ek bete ki talash thi . Lekin woh na mila . Phir us ne hum se yeh hadees byaan ki ke hum Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki saahibzadi ko ghusl de rahi thin ke Aap salla Allahu alaihi wasallam tashreef laaye aur farmaya ke teen ya paanch martaba ghusl de do aur agar munasib samjho to is se bhi zyada de sakti ho . Ghusl paani aur beri ke patton se hona chahiye aur aakhir mein kafoor bhi istemal kar lena . Ghusl se farigh ho kar mujhe khabar kara dena . Unhon ne byaan kiya ke jab hum ghusl de chakein (to itla di) aur Aap salla Allahu alaihi wasallam ne izaar inayat kiya . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke ise andar badan se lapait do . Is se zyada Aap salla Allahu alaihi wasallam ne kuch nahin farmaya . Mujhe yeh nahin maloom ke yeh Aap salla Allahu alaihi wasallam ki kaun si beti thin (yeh Ayub ne kaha) aur unhon ne bataya ke «ish-aar» ka matlab yeh hai ke is mein naash lapait di jaye . Ibn Sirin rahimahullah bhi yehi farmaya karte thay ke aurat ke badan par ise lapaita jaye izaar ke taur par na baandha jaye .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة