الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
أَبْوَابُ صِفَةِ الصَّلَاةِ
The Book of Adhan (Sufa-tus-Salat)
بَابُ السُّجُودِ عَلَى الأَنْفِ وَالسُّجُودِ عَلَى الطِّينِ:
Chapter. To prostrate on the nose and in the mud.
Hadith Number: 813
حدثنا موسى، قال: حدثنا همام، عن يحيى، عن ابي سلمة، قال: انطلقت إلى ابي سعيد الخدري، فقلت: الا تخرج بنا إلى النخل نتحدث، فخرج، فقال: قلت: حدثني ما سمعت من النبي صلى الله عليه وسلم في ليلة القدر، قال:" اعتكف رسول الله صلى الله عليه وسلم عشر الاول من رمضان واعتكفنا معه، فاتاه جبريل، فقال: إن الذي تطلب امامك فاعتكف العشر الاوسط فاعتكفنا معه، فاتاه جبريل، فقال: إن الذي تطلب امامك، فقام النبي صلى الله عليه وسلم خطيبا صبيحة عشرين من رمضان، فقال: من كان اعتكف مع النبي صلى الله عليه وسلم فليرجع فإني اريت ليلة القدر وإني نسيتها وإنها في العشر الاواخر في وتر، وإني رايت كاني اسجد في طين وماء وكان سقف المسجد جريد النخل وما نرى في السماء شيئا، فجاءت قزعة فامطرنا فصلى بنا النبي صلى الله عليه وسلم حتى رايت اثر الطين والماء على جبهة رسول الله صلى الله عليه وسلم، وارنبته تصديق رؤياه".
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Humam bin Yahya ne Yahya bin Abi Kathir se byaan kiya , unhon ne Abu Salamah bin Abdur Rahman se , unhon ne byaan kiya ke main Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ki khidmat mein haazir hua . Main ne arz ki ke falan nakhlastaan mein kyun na chalen seer bhi karenge aur kuch baatein bhi karenge . Chunanchay Aap tashreef le chale . Abu Salamah ne byaan kiya ke main ne raah mein kaha ke shab qadr se mutalliq Aap ne agar kuch Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna hai to usay byaan kijiye . Unhon ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Ramzan ke pehle ashre mein itikaf kiya aur hum bhi Aap ke saath itikaf mein baith gaye , lekin Jibreel alayhis salam ne aa kar bataya ke Aap jis ki talash mein hain (shab qadr) woh aage hai . Chunanchay Aap ne doosre ashre mein bhi itikaf kiya aur Aap ke saath hum ne bhi . Jibreel alayhis salam dobara aye aur farmaya ke Aap jis ki talash mein hain woh (raat) aage hai . Phir Aap ne beesween Ramzan ki subah ko khutba diya . Aap ne farmaya ke jis ne mere saath itikaf kiya ho woh dobara kare . Kyunke shab qadr mujhe maloom ho gayi lekin main bhool gaya aur woh aakhri ashra ki taaq raaton mein hai aur main ne khud ko keechad mein sajda karte dekha . Masjid ki chhat khajoor ki daaliyon ki thi . Mutla bilkul saaf tha ke itne mein ek patla sa baadal ka tukra aaya aur barsne laga . Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne hum ko namaaz parhayi aur main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki peshani aur naak par keechad ka asar dekha . Aap ka khwab sachcha ho gaya .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة