الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْأَذَانِ
The Book of Adhan
بَابُ إِذَا اسْتَوَوْا فِي الْقِرَاءَةِ فَلْيَؤُمَّهُمْ أَكْبَرُهُمْ:
Chapter. If some people are equally proficient in the recitation of the Quran (and religious knowledge), the oldest of them should lead As-Salat (the prayer).
Hadith Number: 685
حدثنا سليمان بن حرب، قال: حدثنا حماد بن زيد، عن ايوب، عن ابي قلابة، عن مالك بن الحويرث، قال: قدمنا على النبي صلى الله عليه وسلم ونحن شببة فلبثنا عنده نحوا من عشرين ليلة، وكان النبي صلى الله عليه وسلم رحيما، فقال:" لو رجعتم إلى بلادكم فعلمتموهم مروهم فليصلوا صلاة كذا في حين كذا، وصلاة كذا في حين كذا، وإذا حضرت الصلاة فليؤذن لكم احدكم، وليؤمكم اكبركم".
Hum se Sulayman bin Harb ne byaan kiya , kaha ke hamein Hammad bin Zaid ne khabar di Ayyub Sakhtiyani se , unhon ne Abu Qilabah se , unhon ne Malik bin Huwayrith razi Allahu anhu se , unhon ne byaan kiya ke hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein apne mulk se haazir huay . Hum sab hum umar naujawan thay . Taqreeban bees raatein hum Aap ki khidmat mein thehray rahe . Aap salla Allahu alaihi wasallam bade hi rehm dil thay . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne (hamari ghurbat ka haal dekh kar) farmaya ke jab tum log apne gharon ko jao to apne qabeela walon ko deen ki baatain batana aur un se namaaz parhne ke liye kehna ke falan namaaz falan waqt aur falan namaaz falan waqt parheen . Aur jab namaaz ka waqt ho jaye to koi ek azaan de aur jo umar mein bara ho woh imamat karaye .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة