الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْأَحْكَامِ
The Book of Al-Ahkam (Judgements)
بَابُ إِذَا قَضَى الْحَاكِمُ بِجَوْرٍ أَوْ خِلاَفِ أَهْلِ الْعِلْمِ فَهْوَ رَدٌّ:
Chapter. If a judge passes an unjust judgement or a judgement which differs from that of the learned religious men, such a judgement is to be rejected.
Hadith Number: 7189
حدثنا محمود، حدثنا عبد الرزاق، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن سالم، عن ابن عمر، بعث النبي صلى الله عليه وسلم خالدا. ح، وحدثني ابو عبد الله نعيم بن حماد، حدثنا عبد الله، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن سالم، عن ابيه، قال:" بعث النبي صلى الله عليه وسلم خالد بن الوليد إلى بني جذيمة، فلم يحسنوا ان يقولوا اسلمنا، فقالوا: صبانا صبانا، فجعل خالد يقتل وياسر، ودفع إلى كل رجل منا اسيره، فامر كل رجل منا ان يقتل اسيره، فقلت: والله لا اقتل اسيري ولا يقتل رجل من اصحابي اسيره، فذكرنا ذلك للنبي صلى الله عليه وسلم، فقال: اللهم إني ابرا إليك مما صنع خالد بن الوليد مرتين".
`Hum se Mahmood ne bayan kiya, kaha hum se Abdur Razzaq ne bayan kaha, kaha hum ko Ma'mar ne khabar di, unhein Zuhri ne unhein Salim ne aur unhein Ibn Umar Radi Allahu Anhuma ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne Khalid Radi Allahu Anhu ko bheja. (doosri sanad) Imam Bukhari Rahimahullah ne kaha aur mujh se Nu'aim bin Hammad ne bayan kiya kaha hum ko Abdullah ne khabar di, kaha hum ko Ma'mar ne khabar di, unhein Zuhri ne, unhein Salim ne, unhein un ke walid ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne Khalid bin Waleed Radi Allahu Anhu ko Bani Jazeema ki taraf bheja (jab unhein Islam ki dawat di) to wo «Aslamna» (hum Islam laye) keh kar acchi tarah izhaar-e-Islam na kar sake balki kehne lage ke «Saba'na saba'na» (hum apne deen se phir gaye, hum apne deen se phir gaye) is par Khalid Radi Allahu Anhu unhein qatl aur qaid karne lage aur hum mein se har shakhs ko is ke hisse ka qaidi diya aur humein hukm diya ke har shakhs apne qaidi ko qatl kar de. Is par mein ne kaha ke wallah! mein apne qaidi ko qatl nahi karoon ga aur na mere sathiyoon mein koi apne qaidi ko qatl kare ga. Phir hum ne is ka zikr Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se kiya to Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke Ae Allah! mein is se bara'at zahir karta hoon jo Khalid bin Waleed ne kiya, do martaba.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة