الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب التَّعْبِيرِ
The Book of The Interpretation of Dreams
بَابُ الطَّوَافِ بِالْكَعْبَةِ فِي الْمَنَامِ:
Chapter. The performance of Tawaff around the Kabah in a dream.
Hadith Number: 7026
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، اخبرني سالم بن عبد الله بن عمر، ان عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" بينا انا نائم رايتني اطوف بالكعبة، فإذا رجل آدم سبط الشعر بين رجلين ينطف راسه ماء، فقلت: من هذا؟، قالوا: ابن مريم، فذهبت التفت فإذا رجل احمر جسيم جعد الراس اعور العين اليمنى كان عينه عنبة طافية، قلت: من هذا؟، قالوا: هذا الدجال اقرب الناس به شبها ابن قطن، وابن قطن رجل من بني المصطلق من خزاعة".
`Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Shuaib ne khabar di, unhein Zuhri ne khabar di, unhein Salim bin Abdullah ibn Umar ne khabar di, un se Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Mein soya hua tha ke mein ne apne aap ko Ka'ba ka tawaf karte dekha. Achanak ek sahab nazar aaye, gandum goon baal latke hue thay aur do aadmiyon ke darmiyan (sahara liye hue thay) un ke sar se pani tapak raha tha. Mein ne poocha yeh kaun hain? Kaha ke Isa ibn-e-Maryam Alaihis Salam, phir mein muda to ek doosra shakhs surkh, bhaari jism wala, ghoongriyale baal wala aur ek aankh se kana jaise is ki aankh par khushk angoor ho nazar aaya. Mein ne poocha yeh kaun hain? Kaha ke yeh Dajjal hai. Is ki surat Abdul Uzza bin Qatan se bahut milti thi.“ Yeh Abdul Uzza bin Qatan Mutlaq mein tha jo qabila-e-Khuza'a ki ek shakh hai.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة