الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الدِّيَاتِ
The Book of Ad-Diyait (Blood - Money)
بَابُ الْعَجْمَاءُ جُبَارٌ:
Chapter. Ther is no Diya (blood money) for the one killed by an animal unaccompained by somebody to contol it.
Hadith Number: Q6913
وقال ابن سيرين: كانوا لا يضمنون من النفحة، ويضمنون من رد العنان، وقال حماد: لا تضمن النفحة إلا ان ينخس إنسان الدابة، وقال شريح: لا تضمن ما عاقبت ان يضربها فتضرب برجلها، وقال الحكم، وحماد: إذا ساق المكاري حمارا عليه امراة فتخر لا شيء عليه، وقال الشعبي: إذا ساق دابة فاتعبها فهو ضامن لما اصابت، وإن كان خلفها مترسلا لم يضمن.
Aur Ibn Sireen ne bayan kiya ke ulama, janwar ke laat maar dene par tawan nahi dilate thay lekin agar koi lagam moarte waqt janwar ko zakhmi kar deta to sawar se tawan dilate thay aur Hammad ne kaha ke laat maarne par tawan nahi hota lekin agar koi shakhs kisi janwar ko uksaye (aur is ki wajah se janwar kisi doosre ko laat maare) to uksane wale par tawan ho ga. Shuraih ne kaha ke is surat mein tawan nahi ho ga jabke badla liya ho ke pehle us ne janwar ko mara aur phir janwar ne usay laat se mara. Hakam ne kaha agar koi mazdoor kisi gadhe ko hanka raha ho jis par aurat sawar ho phir woh aurat gir jaye to mazdoor par koi tawan nahi aur Shabi ne kaha ke jab koi janwar hanka raha ho aur phir usay thaka de to is ki wajah se agar janwar ko koi nuqsan pahuncha to hanke-ne wala zhaamin ho ga aur agar janwar ke peeche reh kar is ko (mamooli taur se) aahistagi se hanka raha ho to hanke-ne wala zhaamin na ho ga.
Hadith Number: 6913
حدثنا مسلم، حدثنا شعبة، عن محمد بن زياد، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" العجماء عقلها جبار، والبئر جبار، والمعدن جبار، وفي الركاز الخمس".
Hum se Muslim bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne, unhon ne Muhammad bin Ziyad se, unhon ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se, unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se, Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”be-zaban janwar kisi ko zakhmi kare to is ki diyat kuch nahi hai, isi tarah kaan mein kaam karne se koi nuqsan pahunche, isi tarah kunwien mein kaam karne se aur jo kafiron ka maal dafan kiya hua mile is mein panchwan hissa sarkar mein liya jaye ga.“
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة