الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الْأَيْمَانِ وَالنُّذُورِ
The Book of Oaths and Vows
بَابُ مَنْ حَلَفَ بِمِلَّةٍ سِوَى مِلَّةِ الإِسْلاَمِ:
Chapter. Whoever swears by a religion other than Islam.
Hadith Number: Q6652
وقال النبي صلى الله عليه وسلم: من حلف باللات والعزى، فليقل: لا إله إلا الله، ولم ينسبه إلى الكفر.
Aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jis ne Laat aur Uzza ki (ittifaqan baghair qasd aur aqeedat ke) qasam kha li usay bataur kaf-fara kalma e tawheed «laa ilaaha illallaahu» parh lena chahiye (aise bhool chook mein qasam khane wale ko) Aap ne kufr ki taraf mansub nahi farmaya.
Hadith Number: 6652
حدثنا معلى بن اسد، حدثنا وهيب، عن ايوب، عن ابي قلابة، عن ثابت بن الضحاك، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" من حلف بغير ملة الإسلام، فهو كما قال، قال: ومن قتل نفسه بشيء، عذب به في نار جهنم، ولعن المؤمن، كقتله، ومن رمى مؤمنا بكفر، فهو كقتله".
Hum se Mualla bin Asad ne bayan kiya, kaha hum se Wuhaib ne bayan kiya, unhon ne Ayub se riwayat kiya, unhon ne Abu Qulabah se, unhon ne Sabit bin Zhah-hak se, unhon ne kaha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jo Islam ke siwa kisi aur mazhab par qasam khaye pas woh aisa hi hai jaisi ke us ne qasam khayi hai aur jo shakhs apne nafs ko kisi cheez se halak kare woh dozakh mein isi cheez se azab diya jata rahe ga aur momin par lanat bheijna us ko qatl karne ke barabar hai aur jis ne kisi momin par kufr ka ilzam lagaya pas woh bhi is ke qatl karne ke barabar hai.“
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة