الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الدَّعَوَاتِ
The Book of Invocations
بَابُ الدُّعَاءِ عِنْدَ الاِسْتِخَارَةِ:
Chapter. The invocation on making Istikharah (an appeal to Allah to guide you on the right path as regards a certain matter).
Hadith Number: 6382
حدثنا مطرف بن عبد الله ابو مصعب، حدثنا عبد الرحمن بن ابي الموال، عن محمد بن المنكدر، عن جابر رضي الله عنه، قال: كان النبي صلى الله عليه وسلم يعلمنا الاستخارة في الامور كلها، كالسورة من القرآن:" إذا هم بالامر فليركع ركعتين، ثم يقول: اللهم إني استخيرك بعلمك، واستقدرك بقدرتك، واسالك من فضلك العظيم، فإنك تقدر ولا اقدر، وتعلم ولا اعلم، وانت علام الغيوب، اللهم إن كنت تعلم ان هذا الامر خير لي في ديني ومعاشي وعاقبة امري، او قال في عاجل امري، وآجله، فاقدره لي، وإن كنت تعلم ان هذا الامر شر لي في ديني ومعاشي وعاقبة امري، او قال في عاجل امري، وآجله، فاصرفه عني واصرفني عنه، واقدر لي الخير حيث كان، ثم رضني به ويسمي حاجته".
Hum se Abu Musab Mutarrif bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Abd-ur-Rahman bin Abu al-Muwal ne bayan kiya, in se Muhammad bin al-Munkadir ne aur in se Jabir razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam hamain tamam muamlat mein istikhara ki taleem dete thay, Quran ki surat ki tarah (Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya) jab tum mein se koi shakhs kisi (mubah) kaam ka irada kare (abhi pakka azm na hua ho) to do rakaat (nafl) parhe is ke baad yun dua kare ke Ae Allah! Main bhalayi maangta hoon (istikhara) teri bhalayi se, tu ilm wala hai, mujhe ilm nahi aur tu tamam posheeda baaton ko jaanne wala hai, Ae Allah! Agar tu jaanta hai ke yeh kaam mere liye behtar hai, mere deen ke aitbar se, meri maash aur mere anjam e kaar ke aitbar se ya dua mein yeh alfaz kahe «fee aajili amree wa aajilihi» to usay mere liye muqaddar kar de aur agar tu jaanta hai ke yeh kaam mere liye bura hai mere deen ke liye, meri zindagi ke liye aur mere anjam e kaar ke liye ya yeh alfaz farmaye «fee aajili amree wa aajilihi» to usay mujh se pher de aur mujhe is se pher de aur meere liye bhalayi muqaddar kar de jahan kahin bhi woh ho aur phir mujhe is se mutmain kar de (yeh dua karte waqt) apni zaroorat ka bayan kar dena chahiye.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة