الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب اللِّبَاسِ
The Book of Dress
بَابُ إِرْدَافِ الْمَرْأَةِ خَلْفَ الرَّجُلِ:
Chapter. To mount a woman behind a man who is Dha-Mahram.
Hadith Number: 5968
حدثنا الحسن بن محمد بن صباح، حدثنا يحيى بن عباد، حدثنا شعبة، اخبرني يحيى بن ابي إسحاق، قال: سمعت انس بن مالك رضي الله عنه، قال:" اقبلنا مع رسول الله صلى الله عليه وسلم من خيبر وإني لرديف ابي طلحة وهو يسير، وبعض نساء رسول الله صلى الله عليه وسلم رديف رسول الله صلى الله عليه وسلم إذ عثرت الناقة، فقلت: المراة، فنزلت فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: إنها امكم، فشددت الرحل وركب رسول الله صلى الله عليه وسلم، فلما دنا او راى المدينة قال: آيبون تائبون عابدون لربنا حامدون".
Hum se Hasan bin Muhammad bin Sabbah ne bayan kiya, kaha hum se Yahya bin Abbad ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, unhein Yahya bin Abi Ishaq ne khabar di, kaha ke main ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke hum Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam ke saath Khaibar se wapas aa rahe thay aur main Abu Talha razi Allahu anhu ki sawari par Aap ke peeche baitha hua thu aur chal rahe thay. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki baaz biwi Safiyyah razi Allahu anha Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki sawari par Aap ke peeche thien ke achanaak oontni ne thokar khayi, main ne kaha aurat ki khabargiri karo phir main utar para. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya yeh tumhari maan hain phir main ne kajawa mazboot baandha aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam sawar ho gaye phir jab Madinah Munawwarah ke qareeb huay ya (rawi ne bayan kiya ke) Madinah Munawwarah dekha to farmaya ”hum wapas hone wale hain Allah Ta-ala ki taraf rujoo hone wale hain, isi ko poojne wale hain, apne maalik ki tareef karne wale hain.“
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة