الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المرضى
The Book of Patients
بَابُ مَنْ دَعَا بِرَفْعِ الْوَبَاءِ وَالْحُمَّى:
Chapter. Whoever invoke Allah to remove epidemics and fever.
Hadith Number: 5677
حدثنا إسماعيل، حدثني مالك، عن هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، انها قالت:" لما قدم رسول الله صلى الله عليه وسلم، وعك ابو بكر، وبلال، قالت: فدخلت عليهما، فقلت: يا ابت كيف تجدك؟، ويا بلال كيف تجدك؟ قالت: وكان ابو بكر إذا اخذته الحمى، يقول: كل امرئ مصبح في اهله والموت ادنى من شراك نعله، وكان بلال إذا اقلع عنه يرفع عقيرته، فيقول: الا ليت شعري، هل ابيتن ليلة بواد وحولي إذخر وجليل وهل اردن يوما مياه مجنة وهل تبدون لي شامة وطفيل قال: قالت عائشة: فجئت رسول الله صلى الله عليه وسلم فاخبرته، فقال:" اللهم حبب إلينا المدينة كحبنا مكة، او اشد، وصححها وبارك لنا في صاعها، ومدها، وانقل حماها فاجعلها بالجحفة".
Hum se Ismail ne bayan kiya, kaha mujh se Imam Malik ne, in se Hisham bin Urwah ne, in se un ke walid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke jab Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam Hijrat kar ke Madinah tashreef laaye to Abu Bakr aur Bilal razi Allahu anhuma ko bukhar ho gaya. Bayan kiya ke phir main in ke paas (beemar-pursi ke liye) gayi aur poochha ke muhtaram walid buzurgwar! Aap ka kya haal hai aur Ae Bilal! Aap ka kya haal hai bayan kiya ke jab Abu Bakr razi Allahu anhu ko bukhar hota to woh yeh shair parha karte thay. ”har shakhs apne ghar walon mein subah karta hai aur maut is ke tasme se bhi zyada qareeb hai“ aur Bilal razi Allahu anhu ka jab bukhar utarta to buland aawaz se woh yeh ashaar parhte. ”kaash mujhe maloom hota ke main ek raat waadi (Makkah) mein is tarah guzar sakoon ga ke mere charon taraf izkhir aur jaleel (ghaas) ke darakht hon ge aur kya kabhi phir main Mijannah ke ghaat par utar sakoon ga aur kya kabhi Shamah aur Tufail main apne samne dekh sakoon ga.“ Rawi ne bayan kiya ke Aisha razi Allahu anha ne kaha phir main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hui aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se is ke mutalliq kaha to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne yeh dua farmayi «allahumma habbib ilaynal-madeenata kahubbina makkata au ashadda wa sahih-ha wa baarik lana fee saa-iha wa muddi-ha wanqul humma-ha faj-al-ha bil-juhfati» ”Ae Allah! Hamare dilon mein Madinah ki mohabbat paida kar jaisa ke hamain (apne watan) Makkah ki mohabbat thi balkay is se bhi zyada Madinah ki mohabbat ata kar aur is ki aab o hawa ko sehat-bakhsh bana de aur hamare liye is ke saa aur mudd mein barkat ata farma aur is ke bukhar ko kahin aur jagah muntaqil kar de usay Juhfa (naami gaon) mein bhej de.“
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة