الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الذَّبَائِحِ وَالصَّيْدِ
The Book of Slaughtering and Hunting
بَابُ أَكْلِ الْمُضْطَرِّ:
Chapter. The eating (of dead animals etc.) out of necessity.
Hadith Number: Q5545
لقول الله تعالى: يايها الذين آمنوا كلوا من طيبات ما رزقناكم واشكروا لله إن كنتم إياه تعبدون {172} إنما حرم عليكم الميتة والدم ولحم الخنزير وما اهل به لغير الله فمن اضطر غير باغ ولا عاد فلا إثم عليه سورة البقرة آية 172-173. وقال: فمن اضطر في مخمصة غير متجانف لإثم سورة المائدة آية 3، وقوله: فكلوا مما ذكر اسم الله عليه إن كنتم بآياته مؤمنين {118} وما لكم الا تاكلوا مما ذكر اسم الله عليه وقد فصل لكم ما حرم عليكم إلا ما اضطررتم إليه وإن كثيرا ليضلون باهوائهم بغير علم إن ربك هو اعلم بالمعتدين {119} سورة الانعام آية 118-119، وقوله جل وعلا: قل لا اجد في ما اوحي إلي محرما على طاعم يطعمه إلا ان يكون ميتة او دما مسفوحا سورة الانعام آية 145. قال ابن عباس: مهراقا او لحم خنزير، فإنه رجس او فسقا اهل لغير الله به، فمن اضطر غير باغ ولا عاد فإن ربك غفور رحيم سورة الانعام آية 145 وقال: فكلوا مما رزقكم الله حلالا طيبا واشكروا نعمت الله إن كنتم إياه تعبدون {114} إنما حرم عليكم الميتة والدم ولحم الخنزير وما اهل لغير الله به فمن اضطر غير باغ ولا عاد فإن الله غفور رحيم {115} سورة النحل آية 114-115.
Kyunke Allah Ta'ala ne (Surah al-Baqarah mein) farmaya ”Musalmano! Hum ne jo pakeeza roziyaan tum ko di hain in mein se khao aur agar tum khaas kar Allah ko poojne wale ho (to in nematon par) is ka shukr ada karo Allah ne to tum par bas murdar aur khoon aur suar ka gosht aur woh janwar jis par Allah ke siwa aur kisi ka naam pukara jaye haram kiya hai phir jo koi bhook se be-qarar ho jaye bashart-e-ke be-hukmi na kare na ziyadati to is par kuch gunah nahi hai.“ Aur Allah ne Surah al-Maidah mein farmaya ”phir jo koi bhook se lachar ho gaya ho is ko gunah ki khwahish na ho.“ Aur Surah al-An'aam mein farmaya ”jin janwaron par Allah ka naam liya jaye in ko khao agar tum is ki aayaton par iman rakhte ho aur tum ko kya ho gaya hai jo tum in janwaron ko nahi khate jin par Allah ka naam liya gaya hai aur Allah ne to saaf saaf in cheezon ko bayan kar diya jin ka khana tum par haram hai woh bhi jab tum lachar na ho jao (lachar ho jao to in ko bhi kha sakte ho) aur bahut log aise hain jo baghair jaane boojhe apne mann maane logon ko gumrah karte hain aur tera maalik aise hadd se barh jaane walon ko khoob jaanta hai.“ Aur Allah ne Surah al-An'aam mein farmaya ”Ae Paighambar! Keh de ke jo mujh par wahi bheji gayi is mein kisi khane wale par koi khana haram nahi jaanta albatta agar murdar ho ya behta khoon ya suar ka gosht to woh haram hai kyunke woh paleed hai ya koi gunah ki cheez ho ke is par Allah ke siwa aur kisi ka naam pukara gaya ho phir jo koi bhook se lachar ho jaye bashart-e-ke be-hukmi na kare na ziyadati to tera maalik bakhshne wala meherban hai.“ Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «masfoohan» ke maani behta hua khoon aur Surah al-Nahl mein farmaya ”Allah ne jo tum ko pakeeza rozi di hai halal is ko khao aur jo tum khalis Allah ko poojne wale ho to is ki nemat ka shukr ada karo, Allah ne bas tum par murdar haram kiya hai aur behta hua khoon aur suar ka gosht aur woh janwar jis par Allah ke siwa aur kisi ka naam pukara jaye phir jo koi be-hukmi aur ziyadati ki niyat na rakhta ho lekin bhook se majboor ho jaye (woh in cheezon ko bhi kha le) to Allah bakhshne wala meherban hai.“