الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب النِّكَاحِ
The Book of (The Wedlock)
بَابُ خُرُوجِ النِّسَاءِ لِحَوَائِجِهِنَّ:
Chapter. The going out of women for their needs.
Show diacritics
Hadith Number: 5237
حدثنا فروة بن ابي المغراء، حدثنا علي بن مسهر، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة، قالت:" خرجت سودة بنت زمعة ليلا، فرآها عمر فعرفها، فقال: إنك والله يا سودة ما تخفين علينا، فرجعت إلى النبي صلى الله عليه وسلم فذكرت ذلك له وهو في حجرتي يتعشى وإن في يده لعرقا، فانزل الله عليه، فرفع عنه وهو يقول: قد اذن الله لكن ان تخرجن لحوائجكن".
Hum se Farwah bin Abi al-Maghra ne byaan kiya, kaha hum se Ali bin Mushar ne byaan kiya, un se Hisham bin Urwah ne, un se un ke walid ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke Umm al-Momineen Sauda bint Zama'h razi Allahu anha raat ke waqt bahar niklein to Umar razi Allahu anhu ne unhein dekh liya aur pehchan gaye. Phir kaha: Ae Sauda, Allah ki qasam! tum hamase chhup nahi saktien. Jab Sauda razi Allahu anha wapas Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke paas aayin to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se is ka zikr kiya. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam is waqt mere hujray mein shaam ka khana kha rahe thay. Aap salla Allahu alaihi wasallam ke hath mein gosht ki ek haddi thi. Is waqt Aap par wahi nazil honi shuru hui aur jab nuzool e wahi ka silsila khatam hua to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tumhein ijazat di gayi hai ke tum apni zarooriyat ke liye bahar nikal sakti ho.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain